Pradhan Mantri Mudra Yojna Kaise Le Union Bank Of India Se? Union Bank Of India Se MSME Loan Kaise Le? Union Bank Of India Shishu Yojna Kaise Apply Kare? Union Bank Of India Se Tarun & Kishor Yojna Kaise Le? MSME Loan Apply? – Yojnapolicy
business loanmsmeyojna scheme

Pradhan Mantri Mudra Yojna Kaise Le Union Bank Of India Se? Union Bank Of India Se MSME Loan Kaise Le? Union Bank Of India Shishu Yojna Kaise Apply Kare? Union Bank Of India Se Tarun & Kishor Yojna Kaise Le? MSME Loan Apply?

 

Dosto, 

 

Zindgi mein aapne bahut baar socha hoga ki mai apna khud ka kucch kar
leta hoon like ki mai apna business kar leta hoon kynki aaj ki taarikh mein
keval yah ek dream nahi hai balki kahi na kahi zaroorat bann chuki hai aur iss
baat ko mai aesa kyun kah raha hoon isko mai batata hoon aap logo ko..

Jaisa ki aap yah baat jaante hai ki job ya salried basis par kaam karne
waale logo ko utni acchi salary ya tankhwah nahi mil paati hai jisse jo koi
vyakti kuchh chahe to use aasani se mil jaaye aesa nhi ho paata aur esa nahi
hai ki wo apni expenses ko bhi maintain kar pata hai aap kabhi na kabhi yah
paayenge ki jo vyakti job basis par kaam kar raha hai wo loan leta hai apni
daily basis ke expenses ko maintain karne ke liye..

xxxx

Lekin kahi na kahi iska solution bhi available hai jo ki yah hai aap log
khud ka kucch kaam kar sakte hai jisme aapki expertise ho to baat yah aa jaati
hai ki aap kisi bhi ek chhote se kaam mein maahir ho use karna bhi chahte ho
lekin uske liye implementation aap karenge kaise baat yah aa jaati hai ki aapke
pass idea to hai sabhi ke pass kuch na kuch ideas aapko mil jaayenge lekin inn
ideas ke exucation mein sabse badi problem yah aa jaati hai ki aap ke paas
funding kaise aayengi..

xxxx

Kyunki mostly business mein aapko business karne ke liye paiso kinl need
padti hai ab banks aapko paise directly to nahi de sakti uss level ke
experience documents aapke paas nahi honge to aap govt Msme schmes ka use kar
sakte hai jaise ki pradhan mantri mudra yojna ab iss type ke schmes aapko sabhi
banks provide karwati hai to aaj hum kis banks ke basis par iss concept ko
samjhenge to uss bank ka naam hai Union Bank Of India aur aaj aap samjhenge ki
Union Bank of India se Msme loan pradhan mantri mudra yojna ko kaise le sakte
hai aap iss ko poora padhe…

 xxxx


Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna Kya
Hai?

 xxxx

To jaise ki intro se to aap samajh chuke honge ki aaj hum business
realated topic par charcha kar rahe hai to mai aapko normal words mein samjhaoo
to pradhan mantri mudra yojna ek prakar ki bharat sarkar dwara nikali gayi
yojnayo mein se ek hoti hai jiske andar aap log agar self employed banna chahte
ho chota sa enterprises level ka startup karna chahe ya koi bhi business karna
chahe to aapko jo loan hai govt ke partnership ke through banks aapko business
loan provide karwati hai aur baat kare to msme schemes wo bhi govt sponsored
aapko kuch hi banks deti hai jinme se union bank of India ek hai aur aaj aap
isse hi pradhan mantri mudra yojna loan kaise le sakte hai wo bataungi..

 xxxx

Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna Ke Kya
Benifits Hai?

 

To kuch benifits ki baat kar lete hai hum..

 

1.    Sabse pahla
laabh ki yah yojna ka laabh har koi vyakti le sakta hai..

 

2.    Specially middle
class families ke logo ko aur jinhone abhi tak business nahi kiya hai wo log le
sakte hai..

 

3.    Aapko yaha par
loan ka amount bhi accha khasa mil jaata hai aur saath hi loan tanure bhi best
milta hai

xxxx

 

4.    Aur jo pradhan
mantri mudra yojna ke tahat business loan par ya msme loan par jo aapko
interest rate milta hai wo bhi aapke budget mein hota hai jisse aap iss loan ko
handle kar sake…

 

5.    Aapko pradhan
mantri mudra yojna ke tahat jo business loan amount aapko milta hai wo lagbhag
50000-1000000 rupees tak ka easily mil jaata hai

 

6.    Aapko pradhan
mantri mudra yojna ko lete waqt kisi bhi types ke asset ko as a security
deposit nahi rakhna padta kyunki yah ek no collateral loans mein aata hai..

 

7.    Pradhan mantri
mudra yojna ko jab aap lete hai to aapko yaha par kaafi help mil jaati hai
hassle free service ke regarding jisse hota hai ki jo msme category ke works
hote hai use karne mein koi dikkat pareshani aati hai wo helps aapko mil
jaayegi..

 xxxx

8.    Aur aap pradhan
mantri mudra yojna se milne wale loan amount ko zaroori nhi ki business
enterprise mein hi lagate hai aap agar loan amount ko multiple purposes mein
use karte hai as an investment or more to bhi use kar sakte hai..

 

 

Union Bank of India Pradhan Mantri Mudra Yojna Se
Kitne Amount Tak Ka Amount Paa Sakte Hai?

 xxxx

To Union Bank of India Pradhan Mantri Mudra Yojna ke tahat aapko jo loan
amount milega wo milta hai aapko lagbhag 50000-1000000 tak ka le sakte hai aur
banks ke according yah differ bhi karti hai…

 

 

Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna Ka Interest
Kitna Pay Karna Padta Hai?

 xxxx

To jaise ki humne benifits ke section mein iss chhij ke upar baat Kari
thi ki aap log jab Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna ko lete hai
to aapko per annum yaani 1 saal ka jo interest rate yaani bya dar jo hai aapko
7.30% Including MCLR +0.40% – 1.65% tak pay karna padta hai aur as usual banks
ke hisab se yah differ bhi kar sakti hai..

 xxxx

Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna Tanure
Timing?

 

To aap logo ne jitna zayada zaroori amount aur interest rate ko samjha
utna hi zaroori aapka loan ka tanure ko bhi samjhna hota hai jisse aap logo ko
pata chal sake ki aap log iss loan ko wapis kab tak kar sakte hai to iska
answer hai 1-7 years tak aap loan ko le sakte hai

 xxxx

Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna
Documentation?

 

To isme documentation ka process thoda bada ho sakta hai to aayiye
samjhte hai..

 

·       eKYC documents
like aapke paas Voter ID Card, Driving Licences, Pan Card, Aadhar card,
Passport Etc..

 

·       Address proof
jaha par aap log rahte hai your residence proof like Telephone Bill,
Electricity Bill, Property Tax Report, and with your all eKYC documents
included..

 

·       2 Passport Size
photograph minimum 6 months old..

 xxxx

·       ST, SC, OBC
certificate If you have to aap de sakte hai…

 

·       Business Related
Documentations

 

·       Business Pan
Card Also Needed

 

·       Income Proof
Last 2 years ke..

 xxxx

·       And Business
Address proof Documentation

 

·       Bank statement
of minimum 6 months old

 

·       Quotation of all
machineries

 

Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna
Eligibility?

 xxxx

Aayiye saari points note down hai ki..

 

1.    Sabse pahle
Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna se loan lene ki jo minimum age
aapki 18+ honi chahiye..

 

2.    Iss loan ko lene
liye aap in mein se ek yah honi chahiye ki Individual, Business Owners,
Entrepreneur, Retailers, Manufacturers, SME and MSME eligible.

 xxxx

3.    Aap bharat ke
niwasi honi chahiye..

 

4.    Jo aavedan karta
hai usska financial track status kaafi accha hona chahiye

 

5.    Saath hi aavedan
karta par kisi bhi prakar ke koi criminal records nahi honi chahiye

 xxxx

 

Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna Contact
Helpline No.?

 

022-22892250

                                           

xxxx

Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra

 Yojna Loan Kaise Apply Kare..

 

SHISHU YOJNA

 

1.    To sabse pahle
aapke paas Union Bank of India ka koi na koi account zaroor hona chahiye jaise
ko aapke paas Saving Account hona chahiye ya koi sa bhi account..

 

2.    Iske baad aapko
karna yah hai sabse pahle aapko ya to union Bank of India ke branch par ya
online Union Bank of India par Pradhan Mantri Mudra Yojna ke andar aapko shishu
loan ke application form ko pdf format mein download karna hai..

 

3.    Iske baad aapko
uss form ko printout nikalwana hai and then aapko use poora fill karna hai adn
then jo bhi documents aapko bataye use attach kar dena hai..

 

4.    Then aapko apne
Union Bank Of India ke nearest branch par jaakar ise submit kar dena hai..

 

5.    Aur aapka
pradhan mantri mudra yojna successfully apply ho chuka hai

 xxxx

TARUN YOJNA & KISHOR YOJNA

 

·       to aapko jo bhi
process bataye gaye jisse aapko Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna
ke loan ko aaply kar sakte hai same steps hai shishu yojna ke liye bhi bass in
exception ko chodkar ke..

 

·       Aapko
application form mein shishu ko chhodkar tarun ya kishor yojna ko choose karna
hai..

 

·       Bass form ko
Fill karke jo bhi aapko documents bataye unhen attach karke jo bhi aapka
nearest branch hai Union Bank Of India ka waha par jakar submit kar dena hai…

 xxxx

 

Conclusion?

 

To aaj ki iss post par humne jaana hai ki aap log kis tarah se Union
Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna loan ko le sakte hai aur aakhir kis
prakar se aap log Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna loan ko apply
kar sakte hai iss post par humne isi topic par poori detail mein baat ki hai
jisme reason, benifits, eligibility, criteria all the things ko iss post mein
cover kiya hai.

 xxxx

Kya Union Bank of India ke alawa sabhi banks pradhan
mantri mudra yojna provide karwate hai.?

 

To iska answer hai zyadatar banks aur normally haa sabhi banks aapko
loan yaani ki pradhan mantri mudra yojna loan ko provide karwate hai..

 xxxx

Kya sabhi loan collateral free loans mein aate hai yaa
nahi?

 xxxx

To iska answer hai sabhi loan to nahi par Pradhan Mantri Mudra Yojna
mein aapko collateral free services mil jaati hai..

 

Ummid karta hoon ki aap sabhi logo ko yah post pasand aayi hogi, koi bhi
sawal ho to comment mein aap pooch sakte hai 

Shukriya “”Aapka iss post ko poora padhne ka
“””

 xxxx

 

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button