State Bank Of India Mein Current Account Kaise Open Kare? | State Bank Of India Mein Current Account Opening Kaise Kare? | SBI Current Account Opening Online? | SBI Account Open Kaise Kare? – Yojnapolicy
Bankingcurrent account

State Bank Of India Mein Current Account Kaise Open Kare? | State Bank Of India Mein Current Account Opening Kaise Kare? | SBI Current Account Opening Online? | SBI Account Open Kaise Kare?

To Yaaro Kaise Ho Sab
Badhiya..!!

To aaj ki iss post mein hum kucch khaas baat
karne waale Hain ki jaise ki aap logo ne apni life kabhi na kabhi current
account ke baare mein suna zaroor hoga bhale aapka account usme na ho lekin aap
ne uske baare mein zaroor suna hoga to aaj ki iss post mein hum isi ko thoda
detail mein clarify karne waale hai ki like current account kya hai aur iss
types ke account ko kis condition mein open karwaya jaata hai aur kon kon
vyakti iss type ke account ko open karwa sakta hai..

To mai aapko sabse pahle bata doo ki jis tarike
se aapne ya aap sabhi logo ke banks mein saving account hote hai jisme aap log
apne paiso ko save karte hai usi type se kucch current account bhi hota hai
yaha par bhi paise save kiye jaate hai bass fark itna hota hain ki iss account
ko keval Business man hi open kar sakte hai ek normal individual person ke liye
ye nahi hota hai..

State Bank Of India Current
Account Kya Hai?

To sabse pahle mai aapko clarify kar doo ki jo
aapka current account hota hai ise kewal individual person jinki business se
relate karta ho ya kisi firms ya kisi entrepreneur dwara iss account ko
khulawaya jaa sakta hai lekin koi person agar chahta hai ki wo ek basic income
source par current account open kar le to use management karne mein bahut
dikkat aati hai aur isse logo ko kaafi nukasan hone ke chances bhi bann jaate
hai jiske reason ke wajah se logo ko jo business field se relate nahi rakhte
unke liye current account nahi hai…


To in short current account business man hi open
kar sakte hai..

Aur sabhi banks mein current account ka option
rahta hai isi wajah se aap State Bank of India mein bhi apna account khulwa
sakte hai …

State Bank Of India Current
Account Objective?

To sawaal yah bann jaata hai ki aakhir State
Bank of India Current Account ke aakhirkaar objective kya hai..

Iss types ke account ko business man open kar
sakte hai..

Current account se business growth mein kaafi
madad mil sakti hai.

Saving account ke muqable current account mein
adhik interest rate aapko mil jaata hai..

As a business purposes ke according..

Higher transaction management karna business se
related..

Withdrawal limit bhi exceed ho jaati hai as a
business purposes…

State Bank Of India Current
Account Opening Ke Benifits?

State Bank of India mein jab aapka current
account hota hai to yah aapko premium internet banking facilities provide
karwata hai jiske basis par aapke uses behtareen ho sake..

State Bank of India current account mein kam se
kam amount bhi aap manage kar sakte hai isme fix amount mandatory nahi hota..

State Bank of India current account mein aapko
over draft facilities ka behtarin use milta hai jo ki ek credit history par
based hota hai..

State Bank of India current account mein aapko
ATM ki suvidha ek saal ke liye without any cost provide karwayi jaati hai uske
baad aapko charges pay karna padta hai..

State Bank of India current account mein aapke
amount deposit par koi interest nahi hold hota hai .

State Bank of India current account mein aapko
overdraft facilities ke sath sath credit history bhi milti hai ..

State Bank of India current account mein aapko
aapke Amount par interest nahi milta hai…

State Bank of India current account mein aapka
main benifits yah hai ki aap apne account ko kisi other branch mein bhi
transfer kar sakte hai.

State Bank of India current account mein aapko
cheque book bhi provide hota hai ek multi city cheque book sahit..

State Bank Of India Current
Account Opening Eligibility?


To baat hum yah karte hai ki jab aap State Bank
of India current account koi individual personal open karte hai to iske liye
aapki kya yogyata honi chahiye aayiye jaante hai …

Koi bhi residential individual person open kar
sakta hai..

Isi ke saath aap hindu undivided familes mein se
ho (HUF)

Sole proprietorship firm

xxxx

Partnership Firm

Private or Limited Company

Limited Liability Partnership

Trust / Association / Club / Society

State Bank Of India Current
Account Opening Mein Konse Required Documents Hone Chahiye?

eKYC documents

Aapki normal eKYC documents required hogi jaise
ki sabse pahli aapke Aadhar Card, Pan Card, Voter ID Card, Driving Licences,
Ration Card Etc…

Isi ke saath aapke paas Address proof bhi hona
chahiye jaise ki Electronic bill,  Electricity Bill, Telephone Bill,
Aadhar Card

xxxx

Two passport size photograph

Proof chahiye ki aap jis firm ya enterprises ke
liye work karte hai ya owner hai uski seal of the company..

And Pan Card Of the company…

State Bank of India Current
Account Products?

To aayiye jaante hai ki State Bank of India mein
current account kitne types ke hote hai aur hum kis baare mein specially baat
kar rahe hai…

State Bank of India Normal Current Account
State Bank of India Power Gain Current Account
State Bank of India Power Pack Current Account
State Bank of India Power PoS Current Account
State Bank of India Surbhi Current Account
State Bank of India Power Jyoti Current Account
State Bank of India Power Jyoti Pul Current
Account

Aur aaj ke iss post mein hum ek normal current
account ke baare mein baat kar rahe hai jo State Bank of India normal current
account ke according aata hai…State Bank Of India Current
Account Minimum Monthly Average Balance?
xxxx
To baat karte hai agar aap State Bank of India
normal current account mein aapko Kam se kam kitna amount manage karke rakhna
padta hai to bata doo ki current account mein kam se kam 10000 rupees manage
karne padte hai..

State Bank of India Current
Account Non Maintanence Charges?

To baat karte hai ki jab aap log State Bank of
India current account mein paiso ko non Maintanence karna pade to ..
xxxx

Non-Rural Area Mein..
5000 Rupees

Rural Area Mein..
2500 Rupees

State Bank of India Current
Account Mein Minimum Kitna Cash Deposit Karna Padta Hai?

To agar mai aap logo ko bataoo to aapko ek din
mein kam se kam 25000 rupees tak hi paiso ko deposit kar sakte hai…

State Bank of India Current
Account Se Aap Kitna Paisa Withdrawal Kar Sakte Hai?

To mai aapko bata doo ki State Bank of India
current account agar aapke account se paisa aap home branch se withdraw kar te
hai to aap unlimited paisa Withdrawal kar sakte hai..

Lekin agar aap kisi other branch se withdraw
karte hai to aap maximum 50000 rupees tak hi amount withdrawal kar sakte hai..

State Bank of India Normal
Current Account Kis Ke Liye Hai?

To mai aapko bata doo ki State Bank of India normal
current account ka use entrepreneur use kar sakte hai ya koi trader kar sakte
hai iske alawa Jo vyakti small business karte hai unke liye hai yah State Bank
of India Normal Current Account ek normal nominal cost facilities sahit
provided hai…

State Bank of India Current
Account Facilities?

Aapko multi cheques mil jaaye hai jisme aapko ek
saal ke andar 50 multi city cheque provided hote hai…

Aapko State Bank of India current account mein
shuruati debit card charges pay nahi karne padte hai one financial years ke
according..

Aapka total transaction NEFT ke according
minimum 10000 rupees tak kar sakte hai jiska cost 1 rupees hota hai..

RTGS Transaction 2Lakh se 5Lakh tak kar sakte
hai..

Aur agar RTGS Transaction home branch ke
according ho to 2lakh rupees se 5 lakh rupees tak kiya jaatq hai 25 rupees cost
par..

Aur saath hi State Bank of India current account
mein demand draft mein jo charges pay karne hote hai 25 rupees per 5000 rupees
ke according..

                                        

State Bank of India Current
Account Kaise Open Kare? State Bank of India Current Account Opening Form Kaise
Bhare?

Sabse pahle aapko State Bank of India ke
official site par visit karna hoga ..

Isi ke saath aapko aap jab ek naye page
pahunchenge jaha par process se judi jaankari ke saath start now ka option par
tap karna hai.

Iske aage aapko tin naye option milenge jaise ki
Partnership Firm, Properiter Ship Firms and HUF

Aapko isme se individual yaani ki kisi hi ek
option par click karna hai then..

Aapko two options milenge like customer information
and account opening form

Jab aap current account ki customer information
sheet ko poora fulfill kar denge ..

Then jis branch mein aapko current account open
karna hai uska Branch Code, Branch Name, Pan Number, gstn, Contact Number and
detail bharkar aapko save and continue par click kar dena hai..

Current account opening form poora fill karne ke
baad aapko aapke nearest branch par ise submit kar dena hai..

And jo bhi required documents ho use saath lekar
branch mein jaaye all documents attached karke with current account application
form ko saath mein submit kar dena hai..


Conclusion?

To aaj ki iss post mein hum logo ne jaana hai ki
aap log kaise State Bank of India mein current account ko kaise open kar sakte
hai saath hi usse related eligibility, criteria, documentation aur jo bhi
required information ki need hoti hai wo Maine dene ki koshish ki hai aur saath
hi aap log kaise State Bank of India mein Current Account kaise open kar sakte
hai iske baare mein jana hai…

Ummid karta hoon post helpful hogi..

Koi sawal ho to comment mein zaroor pooche..

!Shukriya Aapka!

Jyoti Sharma..

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button