Punjab National Bank Mein Current Account Kaise Open Kar Sakte Hai? PNB Current Account Opening? Eligibility, Process, Documentation | Punjab National Bank Current Account Open Kaise Kare? – Yojnapolicy
Bankingcurrent account

Punjab National Bank Mein Current Account Kaise Open Kar Sakte Hai? PNB Current Account Opening? Eligibility, Process, Documentation | Punjab National Bank Current Account Open Kaise Kare?

Welcome bhaiyo,

Kaise hai aap sabhi log mai
ummid karta hoon kinsabhi log acche honge dosto iss baat ko aap sabhi log bahut
hi acchi tarah se jaante hai ki aaj ki date mein logo ko apne paise bachane aur
saving karna unki keval shok ya zaroorat hi nahi unke liye ek important rule
ban chuka hai jiska reason yah hai ki log apne paiso ko bachate sirf wo log
nahi hai jo keval ek middle class families se belong karte hai balki wo log bhi
bachate hai jo ko kisi bhi types ke business field se relatable hote hai ab
aese mein aapko yah baat acche tarike se pata hai ki saving account mein log
apne bahut se paiso ko sabe karte hai jiske basis par unhe per annum ke
according ek accha khasa interest rate mil jaata hai lekin wo keval unn logo le
liye accha rahta hai jo ki sirf log apne paiso ko bachane ke maksad se aate hai
hum same mentality ko business person ya owner se relate nahi kar sakte hai…




Kyunki wo apne har ek paise par
earn karna chahte hai aur yahi nahi wo kabhi saving account ki taraf kobe on
nahi karte hai to baat karte hai ki fir unke liye kis type ka account banks
provide karwate hai usi ke baate mein iss article mein hum log charcha karenge
to baat karte hai ki aaj hum kisi ek bank ka particular example ke through iss
baat ko samjhenge to baat karte hai aaj ek aese bank ke baare mein jisko govt.
And private platform ki taraf se ek accha khasa trust provided hai to uss bank
ka naam hai Punjab National Bank aur jii haa Aaj hum Punjab National Bank se
aap log kaise business related account open karwa sakte hai iske baare mein
janenge..



 


Punjab National Bank Kya Hai?



To baat karte hai so Punjab
National Bank ek banking services provided ek platform jo ki baaki ke banks ki
tarah hi work karta hai aur yaha par aap ko baaki ke banks ki tarah hi banking
facilities milti hai aur ab aap isme business related account opening ke tahat
aap current account open karwa sakte hai..

 

Punjab National Bank Current
Account Kya Hai?

To Punjab National Bank mein
aapko normal account jisko zyada public demand karti hai savings account ke
approaches mein jisse log apne jeevan bhar ki kamai waha save karte hai lekin
hum agar baat karte hai current account ki to yaha par aap log business related
activities ko bhi include kar sakte hai aur current account mostly business
karne wale logo people ke through open kiye jaate hai..

 

Punjab National Bank Current
Account Opening Ke Benifits?

To yaha par aapko kaafi sare
benifits mil jaate hai aapke current account ko khulwane ke Punjab National
Bank mein..

·       Current account opening mein aap limited
transaction ke bajay more money of transaction kar sakte hai wo bhi both modes..

·       Baat karte hai transaction yaani
withdrawal ki to waise to koi limited amount ka koi stop nahi hai par grades ke
according aapko minimum withdrawal allow Kiya jata hai jaise for example
Diamond, Silver grades 

·       Jaise ki maine aapko kaha hai ki current
account mostly business man ki choice hoti hai jiska reason yaha par kaafi
transaction ko proceed karna hota hai like ki wo Forex Trading kar sake aur
other countries se import/export bhi..



·       Aur isi mein aap kaafi chijon ko aur bhi
include kar sakte hai kisi bhi banks mein saving account mein aap zyada
transaction process ke liye Cheque etc more issue nahi karwa sakte lekin
Current Account mein aapko yah extra fetures milte hai..

·       Cheque/DD / FD Withdraw Ki koi permanent
limited nahi ki jaati yah aapke business ke according expand bhi ho sakti hai

·       Punjab National Bank mein kucch grades
rakhe jaaye hai like Silver, Gold and diamond jab aap log iss position par apne
current account ko laate hai tab aapko kahi na kahi account balance management
ki need padti hai.. 

·       Aur current account mein aapko ek balance
management karna padta hai lekin koi exact number current account ke case mein
nhi hota hai kyunki yah aapke business model or expension par depend karta hai..

 

Punjab National Bank Current
Account Opening Eligibility?

 

To agar iss par hum baat kare
to .

1      Current account opening ke liye aapki sabse pahle aap ek
indian residential hone chahiye..

2.    Isi ke saath aapki age 21+ years ki honi
chahiye

3.    Iss account ko aap log individual bhi open
kar sakte hai ya kisi joint person ke in association mein bhi..



4.    Aapke paas sabhi eKYC related documents
hone chahiye

5.    Aur jis business ko operate karte hai uske
business documents bhi hone chahiye

6.    Aur aap keval or keval current account ko
business purposes ke liye hi use kar sakte hai aur sirf isliye hi aap ise open
karwa sakte hai..

 

Punjab
National Bank Current Account Opening Documentation?

 To aayiye
jaante hai ki Punjab National Bank mein current account opening ke liye aapko
konse dastavejo ki aavashyakta padegi..

 ·       Sabse pahle aapke paas sabhi eKYC
documents like :- Aadhar Card, Pan Card, Voter ID Card, Driving Licences Hona
chahiye

·       Aapke paas aapka passport size photo hona
chahiye minimum 2 of unit



·       Isi ke saath aapke paas aapka address
proof hona chahiye residential ka..

·       Aur aapke pas aapka business related
documents hona chahiye like ki aapke pass business or company ka location
address ho..

·       Aur aapke paas apke business ka Pan Card
hona chahiye jisse business validation proof ho sake.. 

·       Business ya company ka aapke paas board
resolution hona chahiye..

·       Business management director ki list or
sabhi MDs ke alawa sabhi board of directors and DIN ki list include honi chahiye



·       Business Or Company Owner ka full detailed
clearance or saath hi FATCA

·       Aur jo bhi extra business validation forms
ya application ho wo aapko documents mein attach karna hoga

·       Business Or company MOA, AOA including
certificate

·       Business Or company certificate Or INC 21
with ROC receipt 

·       Punjab National Bank Current Account
Opening Kaise Kare?



                            

Punjab
National Bank Current Account Open Kaise Kare In Offline Mode?

 

To sabse pahle aapko Punjab
National Bank ke officials kisi bhi apne ghar ke nearby branch par visit karna
hai..

1.       Isi ke saath aapko Jo shuruaat entrance
par jo receptionist milegi aapko usse current account opening form lena hai 

2.       Ya to aapko sidha form mil jayega ya aapko
form kuch normal question ke baad mil sakta hai like ki aapko yah kyun chahiye
or kya aapka yaha par existing account hai like..

3.       Jab aap ko current account application
form mil jaaye to uske baad aapko sabse pahle usme apni account details pahle
fill karni jisme branches realated bat aayegi.. 



4.       Then aapko apni personal information fill
karni hai all details must be fill to related your documents

5.       Then aapko apni business related
information fill karni hai jo bhi aapke paas documents honge usse related field
mein aapko fill karna hai.

6.       Then aapko details fulfill karke apne
current account application form ko submit kar dena hai..

7.       24 hours ke andar aapko confirmation mil
jaayegi.. 



Punjab
National Bank Current Account Open Kaise Kate In Online Mode?

·       Sabe pahle aapko Punjab National Bank ki
official website par visit karna hoga..

·       Then aapka agar already account hai koi sa
bhi to aap simplly login kar sakte hai nahi to aap 

·       Aap current account sidha search kar sakte
hai..

·       Iske baad aapko Punjab National Bank Smart
Current Account Open ka ek section milega aapko uspar par tap karna hai..



·       Waha aapko sabhi information mil jaayegi 

·       Then niche aap scroll karenge to aapko ek
download forms ka option milega or call us

·       Aap dono mein se kisi bhi option ko
proceed kar sakte hai aur apne according yaha par application form ko Fill
karke Punjab National Bank ke branch par submit kar skate hai.

·       Aapko 24 hours ke andar confirmation mil
jaayegi…

 

Punjab
National Bank Current Account Opening GST Needed?

Agar aapke
paas GST nahi hai to aap current account open nahi karwa sakte hai to aesa nahi
hai waise har ek business ko tax payer ko proceed karne ke liye GST Needed hota
hai par agar aapke pas nahi hai to aap instead of this aapke basic eKYC
documents se bhi aap current account open karwa sakte hai…



Punjab
National Bank Current Account Minimum Balance Management?

 

To jaisa ki maine aapko upar
bataya hai ki Punjab National Bank mein smart current account opening ke time
aapko tin grades milti hai uske according aapko apne money ko manage karna
padta hai Punjab National Bank Current Account mein..




 Punjab National Bank Current
Account Opening Charges & Fees?

To agar
iss par baat karte hai ki hum ki aap jab Punjab National Bank mein apne smart
current account open rahe hai hote hai to uspar aapko kisi bhi types ka extra
ya advance charge pay nahi karna padta hai bus agar aap jo bhi extra facilities
ka use karte hai like Exta Cheque, DD ya etc to aapko uski fee pay karni pad
sakti hai baaki no added charge

 

Punjab National Bank Current
Account Passbook Provide Karwata Hai?

Jii haa
jaise aapko saving account open karne par aapko passbook milta hai waise hi
same aapko current account par bhi milta hai including ePassbook also..



Punjab
National Bank Current Account ATM Card Milta Hai?
 

Yes jaise
aapko saving account mein debit card facilities milti hai jiske through aap log
apne paiso ko kisi bhi ATM machine se nikal sakte hai same aapko current
account mein bhi milta hai..



Punjab
National Bank Saving Account Ko Current Account Mein Convert Kar Sakte Hai?

Nahi..aap
apne saving account ko current account mein nahi badal sakte hai as per the
rule of RBI (Reserve Bank of India)



Conclusion?

To aaj
humne jaana hai ki ap log kaise Punjab National Bank Current Account Opening
kaise kar sakte hai jiske andar humne jaana hai ki aap logo ka Punjab National
Bank Current Account Ko kholne ke kya faayde hai saath hi aap kaise open kar
sakte hai Punjab National Bank Current Account Offline Mode mein and Online
Mode mein bhi..



Aasha
Karta hoon ki aapko yah post pasand aayegi or informative lagegi 

Agar aapka
koi sawal hai to comment mein pooch sakte hai Aur share zaroor kar sakte hai
iss post ko..

Shukriya
Aapka..

 

 

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button