To Yaaro Kaise Ho Sab Badhiya..!!
To aaj ki iss post mein hum kucch khaas baat karne waale Hain ki jaise ki aap logo ne apni life kabhi na kabhi current account ke baare mein suna zaroor hoga bhale aapka account usme na ho lekin aap ne uske baare mein zaroor suna hoga to aaj ki iss post mein hum isi ko thoda detail mein clarify karne waale hai ki like current account kya hai aur iss types ke account ko kis condition mein open karwaya jaata hai aur kon kon vyakti iss type ke account ko open karwa sakta hai..
To mai aapko sabse pahle bata doo ki jis tarike se aapne ya aap sabhi logo ke banks mein saving account hote hai jisme aap log apne paiso ko save karte hai usi type se kucch current account bhi hota hai yaha par bhi paise save kiye jaate hai bass fark itna hota hain ki iss account ko keval Business man hi open kar sakte hai ek normal individual person ke liye ye nahi hota hai..
Table of Contents
State Bank Of India Current Account Kya Hai?
To sabse pahle mai aapko clarify kar doo ki jo aapka current account hota hai ise kewal individual person jinki business se relate karta ho ya kisi firms ya kisi entrepreneur dwara iss account ko khulawaya jaa sakta hai lekin koi person agar chahta hai ki wo ek basic income source par current account open kar le to use management karne mein bahut dikkat aati hai aur isse logo ko kaafi nukasan hone ke chances bhi bann jaate hai jiske reason ke wajah se logo ko jo business field se relate nahi rakhte unke liye current account nahi hai…
To in short current account business man hi open kar sakte hai..
Aur sabhi banks mein current account ka option rahta hai isi wajah se aap State Bank of India mein bhi apna account khulwa sakte hai …
State Bank Of India Current Account Objective?
To sawaal yah bann jaata hai ki aakhir State Bank of India Current Account ke aakhirkaar objective kya hai..
Iss types ke account ko business man open kar sakte hai..
Current account se business growth mein kaafi madad mil sakti hai.
Saving account ke muqable current account mein adhik interest rate aapko mil jaata hai..
As a business purposes ke according..
Higher transaction management karna business se related..
Withdrawal limit bhi exceed ho jaati hai as a business purposes…
State Bank Of India Current Account Opening Ke Benifits?
State Bank of India mein jab aapka current account hota hai to yah aapko premium internet banking facilities provide karwata hai jiske basis par aapke uses behtareen ho sake..
State Bank of India current account mein kam se kam amount bhi aap manage kar sakte hai isme fix amount mandatory nahi hota..
State Bank of India current account mein aapko over draft facilities ka behtarin use milta hai jo ki ek credit history par based hota hai..
State Bank of India current account mein aapko ATM ki suvidha ek saal ke liye without any cost provide karwayi jaati hai uske baad aapko charges pay karna padta hai..
State Bank of India current account mein aapke amount deposit par koi interest nahi hold hota hai .
State Bank of India current account mein aapko overdraft facilities ke sath sath credit history bhi milti hai ..
State Bank of India current account mein aapko aapke Amount par interest nahi milta hai…
State Bank of India current account mein aapka main benifits yah hai ki aap apne account ko kisi other branch mein bhi transfer kar sakte hai.
State Bank of India current account mein aapko cheque book bhi provide hota hai ek multi city cheque book sahit..
State Bank Of India Current Account Opening Eligibility?
To baat hum yah karte hai ki jab aap State Bank of India current account koi individual personal open karte hai to iske liye aapki kya yogyata honi chahiye aayiye jaante hai …
Koi bhi residential individual person open kar sakta hai..
Isi ke saath aap hindu undivided familes mein se ho (HUF)
Sole proprietorship firm
Partnership Firm
Private or Limited Company
Limited Liability Partnership
Trust / Association / Club / Society
State Bank Of India Current Account Opening Mein Konse Required Documents Hone Chahiye?
eKYC documents
Aapki normal eKYC documents required hogi jaise ki sabse pahli aapke Aadhar Card, Pan Card, Voter ID Card, Driving Licences, Ration Card Etc…
Isi ke saath aapke paas Address proof bhi hona chahiye jaise ki Electronic bill, Electricity Bill, Telephone Bill, Aadhar Card
Two passport size photograph
Proof chahiye ki aap jis firm ya enterprises ke liye work karte hai ya owner hai uski seal of the company..
And Pan Card Of the company…
State Bank of India Current Account Products?
To aayiye jaante hai ki State Bank of India mein current account kitne types ke hote hai aur hum kis baare mein specially baat kar rahe hai…
State Bank of India Normal Current Account
State Bank of India Power Gain Current Account
State Bank of India Power Pack Current Account
State Bank of India Power PoS Current Account
State Bank of India Surbhi Current Account
State Bank of India Power Jyoti Current Account
State Bank of India Power Jyoti Pul Current Account
Aur aaj ke iss post mein hum ek normal current account ke baare mein baat kar rahe hai jo State Bank of India normal current account ke according aata hai…
State Bank Of India Current Account Minimum Monthly Average Balance?
To baat karte hai agar aap State Bank of India normal current account mein aapko Kam se kam kitna amount manage karke rakhna padta hai to bata doo ki current account mein kam se kam 10000 rupees manage karne padte hai..
State Bank of India Current Account Non Maintanence Charges?
To baat karte hai ki jab aap log State Bank of India current account mein paiso ko non Maintanence karna pade to ..
Non-Rural Area Mein..
5000 Rupees
Rural Area Mein..
2500 Rupees
State Bank of India Current Account Mein Minimum Kitna Cash Deposit Karna Padta Hai?
To agar mai aap logo ko bataoo to aapko ek din mein kam se kam 25000 rupees tak hi paiso ko deposit kar sakte hai…
State Bank of India Current Account Se Aap Kitna Paisa Withdrawal Kar Sakte Hai?
To mai aapko bata doo ki State Bank of India current account agar aapke account se paisa aap home branch se withdraw kar te hai to aap unlimited paisa Withdrawal kar sakte hai..
Lekin agar aap kisi other branch se withdraw karte hai to aap maximum 50000 rupees tak hi amount withdrawal kar sakte hai..
State Bank of India Normal Current Account Kis Ke Liye Hai?
To mai aapko bata doo ki State Bank of India normal current account ka use entrepreneur use kar sakte hai ya koi trader kar sakte hai iske alawa Jo vyakti small business karte hai unke liye hai yah State Bank of India Normal Current Account ek normal nominal cost facilities sahit provided hai…
State Bank of India Current Account Facilities?
Aapko multi cheques mil jaaye hai jisme aapko ek saal ke andar 50 multi city cheque provided hote hai…
Aapko State Bank of India current account mein shuruati debit card charges pay nahi karne padte hai one financial years ke according..
Aapka total transaction NEFT ke according minimum 10000 rupees tak kar sakte hai jiska cost 1 rupees hota hai..
RTGS Transaction 2Lakh se 5Lakh tak kar sakte hai..
Aur agar RTGS Transaction home branch ke according ho to 2lakh rupees se 5 lakh rupees tak kiya jaatq hai 25 rupees cost par..
Aur saath hi State Bank of India current account mein demand draft mein jo charges pay karne hote hai 25 rupees per 5000 rupees ke according..
Visit : https://sbi.co.in/web/business/sme/sme-government-schemes/pmmy
State Bank of India Current Account Kaise Open Kare? State Bank of India Current Account Opening Form Kaise Bhare?
Sabse pahle aapko State Bank of India ke official site par visit karna hoga ..
Isi ke saath aapko aap jab ek naye page pahunchenge jaha par process se judi jaankari ke saath start now ka option par tap karna hai.
Iske aage aapko tin naye option milenge jaise ki Partnership Firm, Properiter Ship Firms and HUF
Aapko isme se individual yaani ki kisi hi ek option par click karna hai then..
Aapko two options milenge like customer information and account opening form
Jab aap current account ki customer information sheet ko poora fulfill kar denge ..
Then jis branch mein aapko current account open karna hai uska Branch Code, Branch Name, Pan Number, gstn, Contact Number and detail bharkar aapko save and continue par click kar dena hai..
Current account opening form poora fill karne ke baad aapko aapke nearest branch par ise submit kar dena hai..
And jo bhi required documents ho use saath lekar branch mein jaaye all documents attached karke with current account application form ko saath mein submit kar dena hai..
Conclusion?
To aaj ki iss post mein hum logo ne jaana hai ki aap log kaise State Bank of India mein current account ko kaise open kar sakte hai saath hi usse related eligibility, criteria, documentation aur jo bhi required information ki need hoti hai wo Maine dene ki koshish ki hai aur saath hi aap log kaise State Bank of India mein Current Account kaise open kar sakte hai iske baare mein jana hai…
Ummid karta hoon post helpful hogi..
Koi sawal ho to comment mein zaroor pooche..
!Shukriya Aapka!
Jyoti Sharma..