Breaking News

Union Bank Of India Personal Loan Kaise Le? | Union Bank Personal Loan Online Apply? | Union Bank Personal Loan Eligibility, Documents, Amount Etc..

Hello sathiyon,

Kaise ho aap sabhi log ummid hai badiya honge toh aaj hum kisi aur loan ke baare mein nhi balki personal loan ke baare mein baat karne waale hai aur jaanenge ki aap log kaise union Bank ke through personal loan lene mein saksham ho…

Yeh loan logo ko tabhi zarurat padti hai jab unko apna koi business, ya koi needs, ya education etc zarurat ho waise toh log kai ese account hote hai jise apne anusar open karwate hai jaise ki saving account jo ki zayada tar middle class families open karwati hai aur current account jaise ki business man ho jo industry se ho aur wahi baat karte hai ki kin logo ko personal loan chahiye hota hai aur kon sa bank aapko personal loan de sakta hai personal loan zayada tar middle class family ko chahiye hota jiske wajah se khi jagaho par wo loan dhundte hai ki unke kaam ho sake isliye union bank aap logo ke liye laai hai personal loan jaisi suvidha jisse aap loan le paye.

Union Bank of India Personal Loan kya Hai?

Union Bank of India ek secured bank hai jisme aapko loan ki facilities milti hai aur aapko loan yaani ki personal loan chahiye wo aapko yaha se aasani se mil sakta hai.

Union Bank of India Personal Loan Benefits?

1.Yaha se loan lene par aapko jo hai bank fast funding deti jisse aap apne kaamo mein use mein laa sakte hai.

2.Yeh aapke credit score ko bulid karne mein help karta hai.

3.personal loan lene par aapko flexible repayment term dekhne ko milti hai.

4.Isme lower interest rate than a credit card hoti hai.

Union Bank of India Personal Loan Kitne Milta Hai?

Isme loan aapko jo ki personal ya professional use ke liye loan chahiye hota hai uss case mein aapko union bank of india 15 lakh tak ka amount deti hai.

Union Bank of India Personal Loan Lene par Interest Rate Aapko Kitna Dena Padega?

Iske interest ki baat kare toh bank aapko 11.40% tak ka interest lagati hai jisko bank ko dena padta hai.

Union Bank of India Personal Loan Kitne Dino ke Liye Milta Hai?

Ab dekhte hai ki bank aapko loan return ka kitna samay deta hai jisse aap loan ko return kar paye toh isme basically aapko 5 years tak ka time mil jata hai.

Union Bank of India Personal Loan Eligibility?

1.Isme minimum age jo hai applicant ki 18 years for salaried ki ho.

2.Aur 25 years for non – salaried individual ki honi chahiye.

3.Aap Indian Residency hone chahiye taki aapko loan aasani se mil sake.

4.Koi bhi vyakti jo salaried ho ya koi business man ho uski annually income 12 lakh rupee ya isse zayada honi chahiye tabhi wo iss loan ke liye eligible mana jayega.

Union Bank of India Personal Loan Documentation?

1.Duly filled in application form & credit information.

2.Aapke pass latest two passport size photograph honi chahiye.

3.Then aapke pass office aur business address proof hona chahiye.

4.For salaried person ke liye income proof ke tor par last Two year ki ITR,form 16 aur isi ke saath hi latest 3 month ki salary slip honi chahiye.

5.Last 12 months ki aapke paas bank statement maujud ho.

6.Identity proof mein aapke pass aadhar card, voter id card,pan card, passport etc ho.

7. Address proof mein aapke paas hona chahiye driving license, passport aur aadhar ho.

Visit : https://www.unionbankofindia.co.in/english/personal-loan.aspx

Union Bank of India Personal Loan kaise Le?/Union Bank of India Personal Loan Kaise Apply kare?

Online Method:-

Isme aapko pahle iske official website par visit karna hai.

Then Search union bank personal loan.

Sidhe personal loan lene ke liye ek webpage par pahunch jaaenge.

Isi ke saath aapko apply now par click karna hai.

Then aapko retail loan ke abdar Personal loan par apply new application par click karna hai hoga.

Iske baad aapko new application par tap karna hai.

Then aapka agar pahle se aapka account hai union bank ke saath to existing user ya naye hai jinka account nahi hai wo new user par click kar sakte hai.

Uske baad details ko fill karni hai.

Advertisement

Sabhi personal professional sabhi required information.

Then Required documents upload karna hai jo waha par maange gaye hai aapse.

Dhyaan rahe mobile no.par OTP ka system rahta hai to mobile no.valid ho.

Then application ko submit kar Dena hai aur jitna loan chahiye jitne samay ke liye chahiye wo sab mentioned karke submit karna hai.

Reference no.milega usse aap status ko track kar paayenge.

Then last mein submit par click karna hai.

Visit : https://www.unionbankofindia.co.in/english/personalloan.aspx

Offline Method :-

Sabse pehle aapko Browser ko open karna hai.

Then Search union personal loan salaried application form.

Application form download and print karnwana hai.

Then aapse jo details aur documents maange hai waha pe dono ko attach karna hai personal loan apply karne ke liye.

Then submit karna hai aapko iske branch par jaakr.

Conclusion?

Toh aaj ke article jo ki personal loan ke baare mein tha Jisko aap sabhi ne dhyan se dekha aur samjha hoga aur iske poore method mein apply karne ke process ko jaana.

Asha hai ki aapko yeh article pasand aaya ho.

Aashish Kummarr

About Aashish Kummarr

Check Also

Canara Bank PMMY Loan Apply Online? | Canara Bank Mudra Loan Kaise Le? | Canara Bank MSME Loan?

Hello guys, Toh kaise hai aap sabhi log ummid karti hoon behartein honge so guys …

Bank Of Baroda Mudra Yojana Loan Kaise Le? | BOB Mudra Loan Apply Online? | BOB PMMY Loan

Hello friends, Aur kaise ho aap log sabhi asha karti hoon behartein honge toh dosto …

Punjab National Bank Mudra Loan Kaise Le? | PNB Mudra Loan Apply Kaise Kare? | PNB Pradhan Mantri Mudra Yojana Loan?

Namaskar sathiyao I hope aap sabhi thik honge Aaj hum ek alg hi topic pe …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x