Breaking News

Bandhan Bank Se Loan Kaise Le? / Bandhan Bank Srishti Loan Kaise Le? / Bandhan Bank Srishti Loan Apply Kaise Kare? / Bandhan Bank Women Business Loan Kaise Le? / Bandhan Bank Women Business Loan Kaise Apply Kare?

 Welcome dosto kaise ho aap sabhi ummid karta hoon sabhi log superb honge.

Aaj ki iss post mein hum kuch alag or hatke baat karne waale jisko padhakar aap bhi kahane lagenge ki abhi se pahle itna behatrin post nahi dekha..nahi nahi zyada sochne ki baat nahi hain hum kisi alag topic par nahi balki loan ki topic ke upar hi karenge lekin haa mai aapko bata doo ki aaj ke yah loan especially women ke liye un aurto ke liye hai zinka mahatv hamari zindagi mein kafi hai aur jo humare liye kitna sab karti hai..

Jaise ki aapko pata hogi ki aaj ki taarikh mein mahilayen kisi bhi filed mein pichhe nahi hai fir bhale chahe hum baat kare education, technology, social and etc..kucch isi tarike se jis tarike se businessman hote hai usi tarike se women bhi ab business ko shuru karna aur use grow karna jaanti hai aese mein sarkar aur banks iss chhij mein aur unke iss behtar kaam ke support mein apna kucch na kucch yogdaan dena chahti hai jisse ki women ke andar confidence badh sake kuch karne ka aur wo bhi grow kar sake desh ki economy ko aese mein baat hum karte hai business ki lekin aapko pata hoga ki kisi bhi business mein sirf ideas aur strategy work nahi karti usko implementation karne ke section mein fund ki need padti hai to aese mein bandhan bank women ke liye laayi hai ek kamaal ka loan..

Bandhan Bank Srishti Loan Kya Hai?

To sabse pahle mai aapko again bata doo ki yah loan especially women ke liye hai aur jo women ek group mein kisi bhi business ko build kar rahi hai ya Employment generate kar Rahi hai aese case mein agar unhen bandhan bank se kisi bhi prakar ke business loan ki zaroorat hai to unn loan mein se ek loan hai jis loan ka naam hai Bandhan Bank Srishti Loan yah loan mahilaon ko diya jaane wala loan hai jo aapko behatar availability aur facilities ke saath milta hai..

Bandhan Bank Srishti Loan Objectives?

Iss loan ko provide karwane ke kya reason ho sakte hai..

Sabse pahla reason to yahi hai ki yah loan women ke confidence ko kahi na kahi increase karega taaki vah business ke field mein bhi naam roshan kar sake..

Saath hi iss loan ko mahilayen bandhan bank ke saving account mein paa sakti hai aur iske liye wo saving account ka hi use as a customer basis par kar sakti hai..

Iss loan ko kaafi aasan kishto mein chukaya jaa sakta hai .

Saath hi iss loan se milne wale amount par koi hidden charges ya additional charge pay karna nahi padega..

Desh mein husinyki growth ko dhyan mein rakhar aur saath hi women employment ko bhi dyaan mein rakhkar iss loan ko provide kiya jaa raha hai..

Bandhan Bank Srishti Loan Ke Benefits?

To agar baat ki jaaye ki iss loan ko lene ke mukhya faaye kya hai..

To aapko bata doo sabse pahla fayda yah hai ki iss loan ko paana aasan hai..

Iss loan ko lene ke liye aapko koi doosra ya anya account opening ki need nahi hai..

Iss loan se aap business ko shuru ya grow kar sakte hai..

Iss loan ko kaafi acche interest rate ke saath provide kiya jaa raha hai jisse iss loan ko pay karna aasan hai..

Iss loan ka repayment time bahut zyada hai to loan zaldi chukane ki jaldbaji ki need nahi hai..

Normal documentation par aapko yah loan mil jayega..

Bandhan Bank Srishti Loan Ka Amount Kitna Milta Hai?

To baat karte hai ki bandhan bank ki srishti loan mein aapko kitne amount tak ka loan prapt hota hai to aapko bata doo iss loan ke maadhyam se aapko 25000 rupees se lekar ke 150000 rupees tak ka loan mil jaata hai..

Bandhan Bank Srishti Loan Interest Rate?

Jaise ki aapko pata hai ki iss loan ko women ki empowerment aur unki badhti business growth ko dhyaan mein rakhkar diya jaa raha hai isliye iss srishti loan mein kyunki overall aakhirkar yah loan hi hai isliye aapko yaha se loan lene par per annum 19.50% tak ka interest pay karna padta hai..

Bandhan Bank Srishti Loan Tenure Time?

To baat ki jaaye ki jab bhi aap log bandhan bank se srishti loan ko apply karte hai aur jab aap logo ko loan mil jaata hai tab aap log iss loan ka repayment duration kitna hai kab tak aap iss loan ko pay kar sakte hai to iska uttar hai 2 saal ke liye aapko yah loan provide karwaya jaata hai.

Bandhan Bank Srishti Loan Eligibility?

To ab aate hai sabse aham baat par ki aap mahilaon mein se bhi iss loan ko aakhir le kon kon sakta hai..

To sabse pahle aap ek bharatiya honi chahiye means indian residential

Saath hi aapki age 23+ honi chahiye

Aapke paas wo sabhi basic personal documents hone chahiye jisse aap apni basic eKYC ko complete kar sake..

Isi ke saath aapke paas aapka bandhan bank ka saving account hona chahiye

Aur aapke paas address proof hona chahiye..

Bandhan Bank Srishti Loan Documentation?

To ab baat aati hai ki aakhir bandhan bank se srishti loan ko apply karne ke liye konse important documents ki need hogi ki aap iss loan ko paa sake ..

To aapko bata doo ki aapke paas aapka Bandhan Bank ka saving account hona chahiye

Isi ke saath aapki basic eKYC documents like Aadhar Card, Pan Card, Voter ID Card, Driving Licenses, Passport etc..

Isi ke saath address proof ke tor par aap Telephone Bill, Electricity Bill, Ration Card, passport etc de sakte hai..

Aur aapko 2 Passport Size photograph ki need hogi..

Aur isi ke saath aapko signature jo ki aapki presence mein complete ho sakti hai..

Bandhan Bank Srishti Loan Processing Fee?

To aapko bata doo ki nahi iss bandhan Bank Srishti Loan mein aapko kisi bhi type ki Processing Fee pay nahi karni padegi..

Bandhan Bank Srishti Loan Additional Charge?

To waise to hum baat kare ki jab aap log bandhan bank se srishti loan ko lete hai to waise to koi additional charge nahi hai par haa jab aap loan ke liye aavedan karte hai aur jab aapki loan amount 25000 rupees se zyada ki hoti hai to uspar aapko 1.25% ka additional fee pay karna padta hai including GST..

Advertisement

Bandhan Bank Srishti Loan Kaise Le? / Bandhan Bank Srishti Loan Apply Kaise Kare? / Bandhan Bank Women Business Loan Kaise Le?

To baat karte hai bandhan bank se srishti loan apply karne ki prakriya ke baare mein to ..

Sabse pahle aapko bandhan ke nearest branch par jaana hoga aur apne bachat khate paasbook ke saath ..

Aur jab aap bank mein jaayenge to waha par loan aapko loan ke liye wha ke loan adhikari se baat karke ..

Saath hi apne objective bata ke aapko bandhan Bank Srishti Loan ka application form lena hai .

Iske baad jo aapko field mile form mein use fill karna hai then photo paste karke saving account Passbook ki recent photo copy

Aur usi ke saath aapke documents ko attached karke form ko usi loan adhikari ko submit kar dena haii..

And ab aapka srishti loan apply ho chuka hai jaise hi yah loan approve hoga aapke bank ac mein paise credit ho jaayega..

Bandhan Bank Srishti Loan Repayment?

To aapne yah to jaan liya ki aakhir bandhan bank se srishti loan ko aakhir lenge kaise lekin baat agar yah aaye ki ise wapis kaise karna hai to aapko mai bata doo ki jab aap log iss loan ko utilization kar lenge uske baad aapko karna kuch nahi hai aap apne saving account mein utna Paisa deposit karke rakhiye wo auto debit ho jaayega ya aap khud bolke deduction karwa sakte hai .

Bandhan Bank Customer Support?

customercare@bandhanbank.com

1800-258-8181

Conclusion?

To aaj ki iss post mein hum logo ne jaana hai ki aakhir aap log kaise bandhan bank se srishti loan ko kaise le sakte hai aur saath hi aap log bandhan bank srishti loan ko apply kaise kar sakte hai isse related humne information ko jana hai ..

Aasha karta hoon ki aapko yah post pasand aayi ho..

“Aapka Shukriya”

Jyoti Sharma  

About Aashish Kummarr

Check Also

State Bank Of India Home Loan Kaise Le? | SBI Home Loan? | State Bank Of India Home Loan Online? | SBI Home Loan Eligbility, Documentation, Amount Etc..

Hello friends, So kaise ho aap sabhi i hope so acche honge toh aaj mai …

Canara Bank PMMY Loan Apply Online? | Canara Bank Mudra Loan Kaise Le? | Canara Bank MSME Loan?

Hello guys, Toh kaise hai aap sabhi log ummid karti hoon behartein honge so guys …

Bank Of Baroda Mudra Yojana Loan Kaise Le? | BOB Mudra Loan Apply Online? | BOB PMMY Loan

Hello friends, Aur kaise ho aap log sabhi asha karti hoon behartein honge toh dosto …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x