Welcome bhaiyo,
Kaise hai aap sabhi log mai ummid karta hoon kinsabhi log acche honge dosto iss baat ko aap sabhi log bahut hi acchi tarah se jaante hai ki aaj ki date mein logo ko apne paise bachane aur saving karna unki keval shok ya zaroorat hi nahi unke liye ek important rule ban chuka hai jiska reason yah hai ki log apne paiso ko bachate sirf wo log nahi hai jo keval ek middle class families se belong karte hai balki wo log bhi bachate hai jo ko kisi bhi types ke business field se relatable hote hai ab aese mein aapko yah baat acche tarike se pata hai ki saving account mein log apne bahut se paiso ko sabe karte hai jiske basis par unhe per annum ke according ek accha khasa interest rate mil jaata hai lekin wo keval unn logo le liye accha rahta hai jo ki sirf log apne paiso ko bachane ke maksad se aate hai hum same mentality ko business person ya owner se relate nahi kar sakte hai…
Kyunki wo apne har ek paise par earn karna chahte hai aur yahi nahi wo kabhi saving account ki taraf kobe on nahi karte hai to baat karte hai ki fir unke liye kis type ka account banks provide karwate hai usi ke baate mein iss article mein hum log charcha karenge to baat karte hai ki aaj hum kisi ek bank ka particular example ke through iss baat ko samjhenge to baat karte hai aaj ek aese bank ke baare mein jisko govt. And private platform ki taraf se ek accha khasa trust provided hai to uss bank ka naam hai Punjab National Bank aur jii haa Aaj hum Punjab National Bank se aap log kaise business related account open karwa sakte hai iske baare mein janenge..
Table of Contents
Punjab National Bank Kya Hai?
To baat karte hai so Punjab National Bank ek banking services provided ek platform jo ki baaki ke banks ki tarah hi work karta hai aur yaha par aap ko baaki ke banks ki tarah hi banking facilities milti hai aur ab aap isme business related account opening ke tahat aap current account open karwa sakte hai..
Punjab National Bank Current Account Kya Hai?
To Punjab National Bank mein aapko normal account jisko zyada public demand karti hai savings account ke approaches mein jisse log apne jeevan bhar ki kamai waha save karte hai lekin hum agar baat karte hai current account ki to yaha par aap log business related activities ko bhi include kar sakte hai aur current account mostly business karne wale logo people ke through open kiye jaate hai..
Punjab National Bank Current Account Opening Ke Benifits?
To yaha par aapko kaafi sare benifits mil jaate hai aapke current account ko khulwane ke Punjab National Bank mein..
· Current account opening mein aap limited transaction ke bajay more money of transaction kar sakte hai wo bhi both modes..
· Baat karte hai transaction yaani withdrawal ki to waise to koi limited amount ka koi stop nahi hai par grades ke according aapko minimum withdrawal allow Kiya jata hai jaise for example Diamond, Silver grades
· Jaise ki maine aapko kaha hai ki current account mostly business man ki choice hoti hai jiska reason yaha par kaafi transaction ko proceed karna hota hai like ki wo Forex Trading kar sake aur other countries se import/export bhi..
· Aur isi mein aap kaafi chijon ko aur bhi include kar sakte hai kisi bhi banks mein saving account mein aap zyada transaction process ke liye Cheque etc more issue nahi karwa sakte lekin Current Account mein aapko yah extra fetures milte hai..
· Cheque/DD / FD Withdraw Ki koi permanent limited nahi ki jaati yah aapke business ke according expand bhi ho sakti hai
· Punjab National Bank mein kucch grades rakhe jaaye hai like Silver, Gold and diamond jab aap log iss position par apne current account ko laate hai tab aapko kahi na kahi account balance management ki need padti hai..
· Aur current account mein aapko ek balance management karna padta hai lekin koi exact number current account ke case mein nhi hota hai kyunki yah aapke business model or expension par depend karta hai..
Punjab National Bank Current Account Opening Eligibility?
To agar iss par hum baat kare to .
1 Current account opening ke liye aapki sabse pahle aap ek indian residential hone chahiye..
2. Isi ke saath aapki age 21+ years ki honi chahiye
3. Iss account ko aap log individual bhi open kar sakte hai ya kisi joint person ke in association mein bhi..
4. Aapke paas sabhi eKYC related documents hone chahiye
5. Aur jis business ko operate karte hai uske business documents bhi hone chahiye
6. Aur aap keval or keval current account ko business purposes ke liye hi use kar sakte hai aur sirf isliye hi aap ise open karwa sakte hai..
Punjab National Bank Current Account Opening Documentation?
To aayiye jaante hai ki Punjab National Bank mein current account opening ke liye aapko konse dastavejo ki aavashyakta padegi..
· Sabse pahle aapke paas sabhi eKYC documents like :- Aadhar Card, Pan Card, Voter ID Card, Driving Licences Hona chahiye
· Aapke paas aapka passport size photo hona chahiye minimum 2 of unit
· Isi ke saath aapke paas aapka address proof hona chahiye residential ka..
· Aur aapke pas aapka business related documents hona chahiye like ki aapke pass business or company ka location address ho..
· Aur aapke paas apke business ka Pan Card hona chahiye jisse business validation proof ho sake..
· Business ya company ka aapke paas board resolution hona chahiye..
· Business management director ki list or sabhi MDs ke alawa sabhi board of directors and DIN ki list include honi chahiye
· Business Or Company Owner ka full detailed clearance or saath hi FATCA
· Aur jo bhi extra business validation forms ya application ho wo aapko documents mein attach karna hoga
· Business Or company MOA, AOA including certificate
· Business Or company certificate Or INC 21 with ROC receipt
· Punjab National Bank Current Account Opening Kaise Kare?
Punjab National Bank Current Account Open Kaise Kare In Offline Mode?
To sabse pahle aapko Punjab National Bank ke officials kisi bhi apne ghar ke nearby branch par visit karna hai..
1. Isi ke saath aapko Jo shuruaat entrance par jo receptionist milegi aapko usse current account opening form lena hai
2. Ya to aapko sidha form mil jayega ya aapko form kuch normal question ke baad mil sakta hai like ki aapko yah kyun chahiye or kya aapka yaha par existing account hai like..
3. Jab aap ko current account application form mil jaaye to uske baad aapko sabse pahle usme apni account details pahle fill karni jisme branches realated bat aayegi..
4. Then aapko apni personal information fill karni hai all details must be fill to related your documents
5. Then aapko apni business related information fill karni hai jo bhi aapke paas documents honge usse related field mein aapko fill karna hai.
6. Then aapko details fulfill karke apne current account application form ko submit kar dena hai..
7. 24 hours ke andar aapko confirmation mil jaayegi..
Punjab National Bank Current Account Open Kaise Kate In Online Mode?
· Sabe pahle aapko Punjab National Bank ki official website par visit karna hoga..
· Then aapka agar already account hai koi sa bhi to aap simplly login kar sakte hai nahi to aap
· Aap current account sidha search kar sakte hai..
· Iske baad aapko Punjab National Bank Smart Current Account Open ka ek section milega aapko uspar par tap karna hai..
· Waha aapko sabhi information mil jaayegi
· Then niche aap scroll karenge to aapko ek download forms ka option milega or call us
· Aap dono mein se kisi bhi option ko proceed kar sakte hai aur apne according yaha par application form ko Fill karke Punjab National Bank ke branch par submit kar skate hai.
· Aapko 24 hours ke andar confirmation mil jaayegi…
Punjab National Bank Current Account Opening GST Needed?
Agar aapke paas GST nahi hai to aap current account open nahi karwa sakte hai to aesa nahi hai waise har ek business ko tax payer ko proceed karne ke liye GST Needed hota hai par agar aapke pas nahi hai to aap instead of this aapke basic eKYC documents se bhi aap current account open karwa sakte hai…
Punjab National Bank Current Account Minimum Balance Management?
To jaisa ki maine aapko upar bataya hai ki Punjab National Bank mein smart current account opening ke time aapko tin grades milti hai uske according aapko apne money ko manage karna padta hai Punjab National Bank Current Account mein..
Punjab National Bank Current Account Opening Charges & Fees?
To agar iss par baat karte hai ki hum ki aap jab Punjab National Bank mein apne smart current account open rahe hai hote hai to uspar aapko kisi bhi types ka extra ya advance charge pay nahi karna padta hai bus agar aap jo bhi extra facilities ka use karte hai like Exta Cheque, DD ya etc to aapko uski fee pay karni pad sakti hai baaki no added charge
Punjab National Bank Current Account Passbook Provide Karwata Hai?
Jii haa jaise aapko saving account open karne par aapko passbook milta hai waise hi same aapko current account par bhi milta hai including ePassbook also..
Punjab National Bank Current Account ATM Card Milta Hai?
Yes jaise aapko saving account mein debit card facilities milti hai jiske through aap log apne paiso ko kisi bhi ATM machine se nikal sakte hai same aapko current account mein bhi milta hai..
Punjab National Bank Saving Account Ko Current Account Mein Convert Kar Sakte Hai?
Nahi..aap apne saving account ko current account mein nahi badal sakte hai as per the rule of RBI (Reserve Bank of India)
Conclusion?
To aaj humne jaana hai ki ap log kaise Punjab National Bank Current Account Opening kaise kar sakte hai jiske andar humne jaana hai ki aap logo ka Punjab National Bank Current Account Ko kholne ke kya faayde hai saath hi aap kaise open kar sakte hai Punjab National Bank Current Account Offline Mode mein and Online Mode mein bhi..
Aasha Karta hoon ki aapko yah post pasand aayegi or informative lagegi
Agar aapka koi sawal hai to comment mein pooch sakte hai Aur share zaroor kar sakte hai iss post ko..
Shukriya Aapka..