Breaking News

Punjab National Bank Mudra Loan Kaise Le? | PNB Mudra Loan Apply Kaise Kare? | PNB Pradhan Mantri Mudra Yojana Loan?

Namaskar sathiyao

I hope aap sabhi thik honge Aaj hum ek alg hi topic pe baat karenge jo mujhe lgta hai aap sabhi ko kahi na kahi kaam aaega aur yah loan se aapke future ke goal jo bhi aapko poora karna ho wo iski help se poora ho sakta hai…

Jaise ki hum sabhi ko paiso ki zarurat hoti hai aur iske liye Hume kamana hota hai but kaafi log apni us kamai se apni needs puri nhi kr paate iske liye log apna ek chota sa business shuru karne ki sochte hai but iske liye bhi paise chahiye aur issi chakkar mein kaafi log piche hat jaate hai to mai aapko bata du ki Pradhan Mantri Mudra yojna Loan ek essa loan hai jaha koi bhi middle class vyakti ho apna ek startup karna chahta hai jese rashan ki dukhan kholna, biscuit factory, e rickshaw etc.. jese koi bhi chote se chote business ke liye aapke liye ye yojna bni hai ye yojna sarkar ke dwara hi nikali gyi hai jo ki aapko yeh easily mil paaega.

Punjab National Bank Pradhan Mantri Mudra yojna kya Hai?

Punjab National Bank jo hai iss schmes ke tehat aapke karobar ko badane ke aur jo vyakti trading, manufacturing, service sector mein aate hai unhi ko loan yeh provide karwae jate hai jisse aapke karobar ko sarkar dwara protsahan mil sake.

Punjab National Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ke kya Benefits Hai?

1.Baki banko ke mukable yaha interest aap logo ke liye affordable hota hai jisse aap easily afford kar paye.

2.Yaha aapko loan amount kaafi aacha khasa mil jata hai.

3.Yah loan middle class families aur chote chote vypaari yaha loan unko easily mil jata hai.

4.Sabhi non- farm enterprises aur small micro farm mudra loan ko aram se receive kar sakte hai.

Punjab National Bank Pradhan Mantri Mudra yojna se Kitne Amount Tak ka Amount paa sakte Hai?

Yaha aap sabhi ko amount ka kitna hissa provide karwaya jata hai toh mai aapko bata isme aapko 10 lakh tak ka amount milta hai.

Punjab National Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ka Interest Kitna pay karna padta Hai?

Punjab National Bank Pradhan Mantri Mudra yojna se loan lene par aapko interest kitna pay karna padta toh aapko 9.15% tak interest as a byaj dena hota hai.

Punjab National Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Tenure Timing?

Yaha hum ab jaan lete hai ki bank aakir aapko kitne samay ka time deta hai iss loan ko return karne ka
Yah aapko milta 7 years tak ka time.

Punjab National Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Eligibility?

1.Isme aapki age jo ki kam se kam 18 years toh honi chahiye.

2.Aur zayada se zayada 60 years honi chahiye.

3.Aap sabhi ka udyam registration number mandatory hai iss loan ke liye.

4.Mudra loan aap le rahe hai toh aapka Punjab National Bank mein existing account hona chahiye.

5.Aapko account open kare kam se kam 6 month o ho gaye ho ya usse zayada tabhi aap loan le payenge.

Punjab National Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Documentation?

1.Applicant ka passport size photograph honi chahiye wo bhi 2.

2.Community proof jisske behalf par aapko loan diya ja sake.

3.Aur saath hi aapka identity proof aur address proof ho business enterprise ka.

4.Bank statement account ki wo bhi last 6 months ki honi chahiye.

5.proof of identity ke liye jo chije isme mandatory hai dena wo hai voter id card, driving license,pan card, aadhar card, passport etc.

6.Proof of residence ke liye recent utility bills, telephone bill, and electricity bill hone chahiye.

7.Machine lagane ke liye ya koi esi chij jisse aap bech ke bhavishya mein uski value se zyada mile use purchase karne ke liye list bani honi chahiye.

Punjab National Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Contact Helpline Number?

18002021

Visit : https://instaloans.pnbindia.in/mudra-loan/verify-customer#!

Punjab National Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Loan kaise Apply kare..

Online Method:-

Sabse pahle aapko Browser ko open karna hai.

Then aapko Punjab National Bank mudra search karna hai.

Uske baad Msme apply online karna hai.

Fir Website portal open hoga.

Uske baad aapko msme loan par jana hai.

Then Apply online par tap karna hai.

Uske baad aapko apni Personal information dena hai.

Aapko loan ka offer aa jayega.

Loan ke offer submit karna hai.

Then aapko apni details fill karni hai.

Then Apni industry jaise manu par di gayi hai usko Choose karni hai.

Loan type mai aapko mudra daal dena hai.

Then Loan amount aapko daalna hai.

Usko baad aapko Income details ko fill karni hai.

Income details ke baad sales details daalni hai.

Aapko sare options ko submit karna hai.

Then aapko reference number mil jayega.

Visit : https://www.pnbindia.in/SMEBanking.html

Advertisement

Offline Method:-

Sabse pahle aapko Punjab National Bank ke browser ko open karna hai.

Then aapko pnb loan application form ko search karna hai.

Uske baad aapko website par jaakr click karna hai.

Then aapko pdf form mai form ko download karna hai.

Uske baad uska print out karwana hai.

Then aapko details ko acche se fill karna hai.

And aapko konse mudra loan se kitna amount chahiye usko daalna hai.

Then aapko jo necessary documents hai unko attch kar dena hai.

Uske baad aapko apne nearest branch jaakr form ko submit kar dena hai.

Kya Punjab National Bank ke alawa sabhi banks Pradhan Mantri Mudra yojna provide karwate hai?

Hann aapko jo hai almost sabhi banks Pradhan Mantri Mudra yojna Loan ko deti hai.

Kya sabhi loan collateral free loans mein aate hai yaa nahi?

No,but saare loan toh nahi par Pradhan Mantri Mudra yojna mein collateral free services provide krwai jati hai.

Conclusion?

Toh guys aaj aapne jaana ki aap log Pradhan Mantri Mudra yojna Loan ke liye kaise apply kar sakte hai aur uske poore process ko aaj iss article ke madhyam se maine aapko samjhane ki koshish ki hai.

Ummid karti hoon aapko yeh article pasand aaya ho.

Aashish Kummarr

About Aashish Kummarr

Check Also

State Bank Of India Home Loan Kaise Le? | SBI Home Loan? | State Bank Of India Home Loan Online? | SBI Home Loan Eligbility, Documentation, Amount Etc..

Hello friends, So kaise ho aap sabhi i hope so acche honge toh aaj mai …

Union Bank Of India Current Account Open Kaise Kare? | Union Bank Current Account? | Union Bank Of India Current Account Eligbility, Documentation Etc..

Namaskar sathiyao, Toh kaise hai aap sabhi asha karti hoon badiya honge Waise toh aapko …

Bank Of Baroda Current Account? | BOB Current Account Opening Online? | Bank Of Baroda Current Account Documents, Eligibility, Charges Etc..

Hello friends, Kaise ho aap sabhi log ummid hai sab thik thaak honge so aaj …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x