Dosto,
Zindgi mein aapne bahut baar socha hoga ki mai apna khud ka kucch kar leta hoon like ki mai apna business kar leta hoon kynki aaj ki taarikh mein keval yah ek dream nahi hai balki kahi na kahi zaroorat bann chuki hai aur iss baat ko mai aesa kyun kah raha hoon isko mai batata hoon aap logo ko..
Jaisa ki aap yah baat jaante hai ki job ya salried basis par kaam karne waale logo ko utni acchi salary ya tankhwah nahi mil paati hai jisse jo koi vyakti kuchh chahe to use aasani se mil jaaye aesa nhi ho paata aur esa nahi hai ki wo apni expenses ko bhi maintain kar pata hai aap kabhi na kabhi yah paayenge ki jo vyakti job basis par kaam kar raha hai wo loan leta hai apni daily basis ke expenses ko maintain karne ke liye..
Lekin kahi na kahi iska solution bhi available hai jo ki yah hai aap log khud ka kucch kaam kar sakte hai jisme aapki expertise ho to baat yah aa jaati hai ki aap kisi bhi ek chhote se kaam mein maahir ho use karna bhi chahte ho lekin uske liye implementation aap karenge kaise baat yah aa jaati hai ki aapke pass idea to hai sabhi ke pass kuch na kuch ideas aapko mil jaayenge lekin inn ideas ke exucation mein sabse badi problem yah aa jaati hai ki aap ke paas funding kaise aayengi..
Kyunki mostly business mein aapko business karne ke liye paiso kinl need padti hai ab banks aapko paise directly to nahi de sakti uss level ke experience documents aapke paas nahi honge to aap govt Msme schmes ka use kar sakte hai jaise ki pradhan mantri mudra yojna ab iss type ke schmes aapko sabhi banks provide karwati hai to aaj hum kis banks ke basis par iss concept ko samjhenge to uss bank ka naam hai Union Bank Of India aur aaj aap samjhenge ki Union Bank of India se Msme loan pradhan mantri mudra yojna ko kaise le sakte hai aap iss ko poora padhe…
Table of Contents
Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna Kya Hai?
To jaise ki intro se to aap samajh chuke honge ki aaj hum business realated topic par charcha kar rahe hai to mai aapko normal words mein samjhaoo to pradhan mantri mudra yojna ek prakar ki bharat sarkar dwara nikali gayi yojnayo mein se ek hoti hai jiske andar aap log agar self employed banna chahte ho chota sa enterprises level ka startup karna chahe ya koi bhi business karna chahe to aapko jo loan hai govt ke partnership ke through banks aapko business loan provide karwati hai aur baat kare to msme schemes wo bhi govt sponsored aapko kuch hi banks deti hai jinme se union bank of India ek hai aur aaj aap isse hi pradhan mantri mudra yojna loan kaise le sakte hai wo bataungi..
crossorigin=”anonymous”>Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna Ke Kya Benifits Hai?
To kuch benifits ki baat kar lete hai hum..
1. Sabse pahla laabh ki yah yojna ka laabh har koi vyakti le sakta hai..
2. Specially middle class families ke logo ko aur jinhone abhi tak business nahi kiya hai wo log le sakte hai..
3. Aapko yaha par loan ka amount bhi accha khasa mil jaata hai aur saath hi loan tanure bhi best milta hai
4. Aur jo pradhan mantri mudra yojna ke tahat business loan par ya msme loan par jo aapko interest rate milta hai wo bhi aapke budget mein hota hai jisse aap iss loan ko handle kar sake…
5. Aapko pradhan mantri mudra yojna ke tahat jo business loan amount aapko milta hai wo lagbhag 50000-1000000 rupees tak ka easily mil jaata hai
6. Aapko pradhan mantri mudra yojna ko lete waqt kisi bhi types ke asset ko as a security deposit nahi rakhna padta kyunki yah ek no collateral loans mein aata hai..
7. Pradhan mantri mudra yojna ko jab aap lete hai to aapko yaha par kaafi help mil jaati hai hassle free service ke regarding jisse hota hai ki jo msme category ke works hote hai use karne mein koi dikkat pareshani aati hai wo helps aapko mil jaayegi..
8. Aur aap pradhan mantri mudra yojna se milne wale loan amount ko zaroori nhi ki business enterprise mein hi lagate hai aap agar loan amount ko multiple purposes mein use karte hai as an investment or more to bhi use kar sakte hai..
crossorigin=”anonymous”>Union Bank of India Pradhan Mantri Mudra Yojna Se Kitne Amount Tak Ka Amount Paa Sakte Hai?
To Union Bank of India Pradhan Mantri Mudra Yojna ke tahat aapko jo loan amount milega wo milta hai aapko lagbhag 50000-1000000 tak ka le sakte hai aur banks ke according yah differ bhi karti hai…
crossorigin=”anonymous”>Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna Ka Interest Kitna Pay Karna Padta Hai?
To jaise ki humne benifits ke section mein iss chhij ke upar baat Kari thi ki aap log jab Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna ko lete hai to aapko per annum yaani 1 saal ka jo interest rate yaani bya dar jo hai aapko 7.30% Including MCLR +0.40% – 1.65% tak pay karna padta hai aur as usual banks ke hisab se yah differ bhi kar sakti hai..
crossorigin=”anonymous”>Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna Tanure Timing?
To aap logo ne jitna zayada zaroori amount aur interest rate ko samjha utna hi zaroori aapka loan ka tanure ko bhi samjhna hota hai jisse aap logo ko pata chal sake ki aap log iss loan ko wapis kab tak kar sakte hai to iska answer hai 1-7 years tak aap loan ko le sakte hai
crossorigin=”anonymous”>Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna Documentation?
To isme documentation ka process thoda bada ho sakta hai to aayiye samjhte hai..
· eKYC documents like aapke paas Voter ID Card, Driving Licences, Pan Card, Aadhar card, Passport Etc..
· Address proof jaha par aap log rahte hai your residence proof like Telephone Bill, Electricity Bill, Property Tax Report, and with your all eKYC documents included..
· 2 Passport Size photograph minimum 6 months old..
· ST, SC, OBC certificate If you have to aap de sakte hai…
· Business Related Documentations
· Business Pan Card Also Needed
· Income Proof Last 2 years ke..
· And Business Address proof Documentation
· Bank statement of minimum 6 months old
· Quotation of all machineries
crossorigin=”anonymous”>Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna Eligibility?
Aayiye saari points note down hai ki..
1. Sabse pahle Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna se loan lene ki jo minimum age aapki 18+ honi chahiye..
2. Iss loan ko lene liye aap in mein se ek yah honi chahiye ki Individual, Business Owners, Entrepreneur, Retailers, Manufacturers, SME and MSME eligible.
3. Aap bharat ke niwasi honi chahiye..
4. Jo aavedan karta hai usska financial track status kaafi accha hona chahiye
5. Saath hi aavedan karta par kisi bhi prakar ke koi criminal records nahi honi chahiye
crossorigin=”anonymous”>Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna Contact Helpline No.?
022-22892250
crossorigin=”anonymous”>Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna Loan Kaise Apply Kare..
SHISHU YOJNA
1. To sabse pahle aapke paas Union Bank of India ka koi na koi account zaroor hona chahiye jaise ko aapke paas Saving Account hona chahiye ya koi sa bhi account..
2. Iske baad aapko karna yah hai sabse pahle aapko ya to union Bank of India ke branch par ya online Union Bank of India par Pradhan Mantri Mudra Yojna ke andar aapko shishu loan ke application form ko pdf format mein download karna hai..
3. Iske baad aapko uss form ko printout nikalwana hai and then aapko use poora fill karna hai adn then jo bhi documents aapko bataye use attach kar dena hai..
4. Then aapko apne Union Bank Of India ke nearest branch par jaakar ise submit kar dena hai..
5. Aur aapka pradhan mantri mudra yojna successfully apply ho chuka hai
crossorigin=”anonymous”>TARUN YOJNA & KISHOR YOJNA
· to aapko jo bhi process bataye gaye jisse aapko Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna ke loan ko aaply kar sakte hai same steps hai shishu yojna ke liye bhi bass in exception ko chodkar ke..
· Aapko application form mein shishu ko chhodkar tarun ya kishor yojna ko choose karna hai..
· Bass form ko Fill karke jo bhi aapko documents bataye unhen attach karke jo bhi aapka nearest branch hai Union Bank Of India ka waha par jakar submit kar dena hai…
crossorigin=”anonymous”>Conclusion?
To aaj ki iss post par humne jaana hai ki aap log kis tarah se Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna loan ko le sakte hai aur aakhir kis prakar se aap log Union Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna loan ko apply kar sakte hai iss post par humne isi topic par poori detail mein baat ki hai jisme reason, benifits, eligibility, criteria all the things ko iss post mein cover kiya hai.
crossorigin=”anonymous”>Kya Union Bank of India ke alawa sabhi banks pradhan mantri mudra yojna provide karwate hai.?
To iska answer hai zyadatar banks aur normally haa sabhi banks aapko loan yaani ki pradhan mantri mudra yojna loan ko provide karwate hai..
crossorigin=”anonymous”>Kya sabhi loan collateral free loans mein aate hai yaa nahi?
To iska answer hai sabhi loan to nahi par Pradhan Mantri Mudra Yojna mein aapko collateral free services mil jaati hai..
Ummid karta hoon ki aap sabhi logo ko yah post pasand aayi hogi, koi bhi sawal ho to comment mein aap pooch sakte hai
Shukriya “”Aapka iss post ko poora padhne ka “””