Hello dosto,
Kaise ho aap sabhi log asha karti hoon behartein honge aur aaj ke article mein hum current account ke baare mein charcha karne wale hai aur samjhenge ki current ke function kaise kaam karta hai jisse aap apne account ko acche se manage kar paye jisse paiso ka hisab sahi tarike se ho paye.
Iss account ko ek business man hi handle kar sakta hai kyuki wo kisi na kisi business se juda hota hai aur uski income baki ke mukable zayada hoti hai chahe per annum ho ya month ya days wise ho aur yahi log account ko handle kar pate kyuki inka daily ka transaction hota hai paiso ko nikalna bhejna aur zarurat padne par other countries mein export import bhi karna hota hai isliye yeh account mostly business man hi open karwate hai.
Table of Contents
UCO Bank Current Account Kya Hai?
Jinhe apna business ko shuru karna ho ya usse judna ho unn sabhi ke liye current account ek best account mein se ek account mana jata hai kyuki yaha aap baki account ke badle zayada acche se transaction woh bhi unlimited kar sakte hai.
UCO Bank Current Account Opening ke Benefits?
1.Other country se paise manga sakte aur payment kar sakte hai.
2.Paiso ki lenden yaha easily kar pate ek business man.
3.yaha se aap kisi bhi chijo ka transaction easily kar sakte hai.
4.Net banking se aap apne mobile phone ke through khi se bhi paiso ko bhej sakte hai isme koi limitation nahi hoti.
UCO Bank Current Account Opening Eligibility?
1.Hindu undivided family Jiske andar business ko operate karte hai wo bhi current account ko open kar sakte hai.
2.Aur aap Bharat ke niwasi hone chahiye.
3.Trust, club, association, society se aap join hone chahiye.
4.Limited liability company yeh business ka ek organized structure hota hai jisme sabhi business karne wale logo ki equal partnership hoti hai aur legal roop se yeh work karta hai.
UCO Bank Current Account Opening Documentation?
1.pahle toh aapka application form fill hona chahiye.
2.Registration certificate hona chahiye for sole proprietorship ke.
3.Identity proof ke liye aadhar card, driving license, voter id card,pan card hona chahiye.
4.Address proof se related documents jo hone chahiye wo hai passport, utility bill, telephone bill ho.
5.Aur saath hi passport size photograph hona chahiye.
6.Sales and income tax returns ke proof hone chahiye.
7.Limited liability partnership ke agreement jo log kaam kar rahe isliye liye agreement ki zarurat padegi.
8.License certificate issued by the municipal authorities under shop & establishment act ki aapka business kb shuru hua hai uska certificate chahiye hota hai.
Visit : https://www.ucobank.com/current-account
UCO Bank Current Account Open kaise kare In Offline Mode?
Sabse pahle toh aapko UCO Bank ke website par jana hai.
Then uspe aapko karna hai.
Then click karne ke baad aapko pdf ko download karna hai.
Fir aapko form ko acche se fill karna hai.
Then waha current deposit account par click karna hai.
Uske baad aapko Apni address proof aur identity proof ke documents dena hoga.
Fir Saath mai signature karna hai.
Then form ko branch jaakr submit kar dena hai.
UCO Bank Current Account Opening GST Needed?
Ese toh account opening ke liye GST ki need padti hai agar aapke pass nahi hai toh aap eKYC ke behalf par bhi account open karwane mein help le sakte hai.
UCO Bank Current Account Minimum Balance Management?
Isme alag alag category dekhne ko milti hai aur metro area mein individual ki baat kare toh 3000 maintain ke yahi others mein 5000 hai aur urban ki baat kare toh 3000 hai aur others mein 5000 aapko minimum balance manage karna padega.
UCO Bank Current Account Opening Charges & Fees?
Isme minimum balance ko manage na karne par monthly aapko charge pay karna padega toh aapko 500/- per quarter dena hota hai.
UCO Bank Current Account Passbook Provide karwata Hai?
Yes UCO Bank aapko current account open karwane ke baad passbook available karwati hai isse paiso ka hisab rakh sake.
UCO Bank Current Account ATM Card Milta Hai?
Toh mai ATM Card ki baat karu toh aapko isme ATM wali facility provide karwai jati hai ki jab chahe aur kitna bhi amount nikal sake.
UCO Bank Saving Account ko Current Account Mein Convert kar Sakte Hai?
As per the rule of bank saving account ko current account mein convert nahi kar sakte hai.
Conclusion?
So, dosto current account kya hai aur iske function kaise kaam karte hai aur aap logo ki kaise help karta hai yeh account aur kon log eligible hai iss account ko open karwane ke liye yeh saari baatein aapne iss article ke madhyam se jaana.
Ummid karti hoon aapko yeh article samajh aaya ho.
Aashish Kummarr