Hello friends,
Kaise ho aap sabhi log ummid hai sab thik thaak honge so aaj basically hum current account aur uske poore process and concept ke baare mein jaanne wale hai ki isko open karwane ke liye terms & Condition kya hogi jisse aap current account open karwa paye.
Toh aap mein se kai ese log hai jo Business ko operate karne ke liye wo ek behartein platform search karte hai jaha se unki income par kaafi effect padta hai kai baar paiso ki len den yaani ki transaction acche se nhi ho pati ya paise bich mein hi fass jate hai jisse business karne mein khi na khi kuch problem ko unko face karni padh jati hai ese mein business man chahte hai unke pass ek accha account ho jo sabhi problem ko solve kar paye aur paiso ka len den bhi thik se ho paye isliye current account inn sabhi vyapario ke liye behartein account hota hai jaha aap account ko apne suvidha anusar open karwa sakte hai.
Table of Contents
Bank of Baroda Current Account Kya Hai?
Yaha koi bhi vyakti jinka business shuru hua ho ya unko apna startup shuru hua ho wo log jo business se jude hue hain wo basically apna account yaani ki current account bank of baroda mein open karwa sakte hai.
Bank of Baroda Current Account Opening ke Benefits?
1.Iss account mein aap log daily paise deposit kar sakte hai aur saath hi withdrawal karwa sakte hai.
2.Other countries ke saath export import kar sakte hai.
3.Internet banking facility yaha available karwai jati hai.
4.Mobile banking for individual, proprietorship accounts only.
Bank of Baroda Current Account Opening Eligibility?
1.Sole proprietorship firm matlab ki aap khud akele ka business hona chahiye.
2.Partnership firms jab do ya usse adhik log milkar business ko sambhal rahe hote hai unhe collective roop se firm kehte hai aur personal roop se partnership.
3.Trust koi person ya company hota hai jo kisi bhi third person ke liye asset rakhta hai aur uski security bhi karta hai.
4.Aur aap saath hi hindu undivided family se belong kare hue ho.
Bank of Baroda Current Account Opening Documentation?
1.Partnership deed yaani ki jab kisi bhi business ko shuru karne se pahle partnership ke bich hona wale agreement ke paper hone chahiye.
2.Certificate of incorporation ke ,MOA jisme company ke baare mein sabhi foundation information hoti hai aur AOA jisme company dwara governed rules aur rights se related information hogi.
3.Hindu undivided family,firm aur company ke address proof zaruri hai dena.
4.Sales tax aur service tax authority ke certificate mandatory hai.
5.Id proof and address proof hona chahiye for all directors and partners ke.
6.Aur saath hi bank account open karne ke liye cheque chahiye.
7.Business pan card jisse aapke business karne mein approval ho sake.
8. 2 passport size photograph honi chahiye.
Visit : https://www.bankofbaroda.in/personal-banking/accounts/current-accounts
Bank of Baroda Current Account Open kaise kare In Online Mode?
Pahle aapko Browser par jana hai
Then search karna hai bank of baroda current account online apply.
Then website par tap karna hai.
Uske baad aapko apply now ka option show hoga uspe click karna hai.
Form open hote hi aapko mobile number daalna hai.
Then product type pe current account ko choose karna hai.
Fir aapko sub product pe click karna.
Uske OTP aa jayega usko daalna hai.
Then aapko Form ko fill karna hai.
Then Documents verification karna hai.
May be aapka kyc video ke through verification ho sakta hai.
Account ko fund yaani ki account mein paise daalna hoga.
Uske 24 hours mein aapka account successful open ho jayega.
Visit : https://www.bankofbaroda.in/business-banking/msme-banking/current-accounts
Bank of Baroda Current Account Open kaise kare In Offline Mode?
Pahle aapko bank of baroda ke website par jana hai.
Then aapko Pdf ko download karna hai.
Fir Applicant ko details fill karni hai.
Jis business mai involved usko show karna hai.
Maintenance charges dena padta hai.
Fir aapko Business documents ko attach karna hai.
Then branch pe jaakr form ko submit kar dena hai.
Bank of Baroda Current Account Opening GST Needed?
Waise toh current account open karwane ke liye business man ko gst ki need padti hai lekin mein aapko bata doo business par GST applicable hai toh de sakte hai warna koi zarurat nahi hoti.
Bank of Baroda Current Account Minimum Balance Management?
Yaha par balance hai metro 10,000 semi – urban mein aur rural mein 2000 tak aapko minimum average quarterly balance ko manage karna padega.
Bank of Baroda Current Account Opening Charges &Fees?
Balance ko na maintain karne par aapko metro jo hai 800 semi- urban mein dena hoga aur rural mein 400 pay karna padta hai.
Bank of Baroda Current Account Passbook Provide karwata Hai?
Yes bank of baroda jaise ki sabhi facilities aapko provide karwati hai toh mai aapko bata doo ki yeh bank aapko passbook bhi provide karwati.
Bank of Baroda Current Account ATM Card Milta Hai?
ATM Card jo ki sabhi bank aapko deti hai taki aap paiso ki transaction easily kar sake jisse baad mein koi pareshani na ho.
Bank of Baroda Saving Account ko Current Account Mein Convert kar Sakte Hai?
Nahi aap Saving Account ko Current Account mein convert bilkul bhi nahi kar sakte hai kyunki yeh bank ke rules mein nahi hota hai.
Conclusion?
Toh aaj aapne current account kaise kaam karta hai aur aap log yaha account kaise open karwa sakte hai aur kis method se apply kar sakte hai yeh sabhi chijo ke baare me jaana hoga.
I hope so ki aapko yeh article pasand aaya ho.
Aashish Kummarr