Breaking News

State Bank Of India Home Loan Kaise Le? | SBI Home Loan? | State Bank Of India Home Loan Online? | SBI Home Loan Eligbility, Documentation, Amount Etc..

Hello friends,

So kaise ho aap sabhi i hope so acche honge toh aaj mai aapko home loan ke baare mein batane waali hoon ki aap log kaise loan lene ke liye eligible hai aur aapko yeh loan kaise aapke liye beneficial loan mein se ek hai.

Har kisi vyakti ka sapna hota hai ki uske pass khud ka ghar ho aur jise wo apna keh sake aur rent use dena na pade lekin kai baar esa hota hai ki logo ke paas itne paise nhi hote ki wo apna ghar le paye aur apne sapno ko poora kar sake isliye wo piche hatt jate aur upper se mahangaee ke wajah se bhi log Ghar lene mein samarth nhi ho pate isliye ese mein bank aapko ghar lene ke liye loan provide karwati hai jisse aap apne anusar kaisa bhi ghar le paye.

State Bank of India Home Loan kya Hai?

Yaha aapko apne iccha anusar ghar lena ho ya renovation ke liye loan provide karwaya jata wo bhi State Bank of India ke through jisse aap apna khud ka ghar le paye jo ki aapko bank saari facilities available karwati hai.

State Bank of India Home Loan ke Benefits?

1.Attractive interest rate hai isme.

2.Complete transparency iss loan mein do logo ke bich transparency honi chahiye.

3.No pre payment penalty isme pahle payment par koi bhi penalty nhi lagti.

4.Isme processing fee kaafi kaam hai baki banko ke mukable.

State Bank of India Home Loan Amount?

Isme aapko 15 crore tak ka amount jo ki aapko behartein aur accha ghar le paye uske liye yeh amount aapko bank deti hai as a loan.

State Bank of India Home Loan Interest Rate?

Ab baat karte hai ki sbi bank mein aapko jo byaj dena padega jo kuch iss prakar se hai 8.40% p.a.

State Bank of India Home Loan Tenure Timing?

Iske samay ki baat kare yaani ki loan ko wapas karne ka samay aapko 30 years tak ka time mil jata hai.

State Bank of India Home Loan Processing Fee?

Home loan jiski processing fee hai 0.35% to 0.50% of the home loan amount plus applicable GST bhi hai.

State Bank of India Home Loan Eligibility?

1.Iss loan ko lene ke liye applicant ka credit score thik hona chahiye.

2.Aap jo hai indian hone chahiye tabhi aapko loan diya ja sakta hai.

3.Isme aapki age minimum required hai 18 years honi chahiye.

4.Aur maximum age aapki 70 mandatory hai iss loan ke liye.

5.Applicant ‘s ka income source aur salary kaafi thik thak honi chahiye.

State Bank of India Home Loan Documentation?

1.Property Paper :-

Permission of construction ke paper hona chahiye.

2.Loan application:-

Complete form fill hona chahiye aur saath hi 3 passport size photographs honi chahiye.

3.Account statement:-

Applicant ki last 6 months statement aapke pass maujud ho.

4.Income proof for salaried applicant :-

Isme aapke pass last 3 months ki salary slip or salary certificate ho.

5.Income proof for non-salaried applicant:-

Yaha aap pe last 3 years ki balance sheet or profit and loss ki account details honi chahiye.

6.Proof of identity:-

Pan card, passport, voter id card , driving license hona chahiye jisse aapko loan diya ja sake.

7.Proof of residence:-

Telephone bill, electricity bill, water bill,piped gas bill or copy of passport hona chahiye.

Visit : https://homeloans.sbi/

State Bank of India Home Loan kaise Le?/ State Bank of India Home Loan kaise Apply kare?

Online Method:-

Sabse pahle toh aapko browser open karna hai.

Uske baad aapko SBI home loan search karna hai.

Then aapko SBI ki home loan website show hogi online mein hi.

Uss par aapko click karna hai.

Uske baad aapko jo hai usme aake Four details ko complete karna hai.

Advertisement

Then initial step mein aapko mobile number ko daalna hai aur uspe OTP aayega.

Fir aapko details ko fill karni hai.

Aur agar aapka account SBI mein hai toh aapko details uske according fill karni hogi.

Then details ko fill karne ke baad aapko apply kar dena hai.

Offline Method:-

Pahle aapko sbi application form search karna hai.

Then uski website aapke samne aa jayegi.

Uspe tap karna hai aur pdf ko download karna hai.

Then aapko personal details ko fill karni hai.

Jaise residential address, employment details,loan details etc ko fill karna hai.

Then aapko form mein apne signature karna hai.

Uske baad aapko submit kar dena hai.

Conclusion?

Toh aaj ke article mein aapko home loan ke baare mein kaafi kuch jaanne ko mila hoga ki home loan ke liye aap log kaise apply kar sakte hai aur kis method se jise aaj ke poore context mein dekha.

Aasha karti hoon aapko yeh article pasand aaya ho.

Aashish Kummarr

About Aashish Kummarr

Check Also

Union Bank Of India Current Account Open Kaise Kare? | Union Bank Current Account? | Union Bank Of India Current Account Eligbility, Documentation Etc..

Namaskar sathiyao, Toh kaise hai aap sabhi asha karti hoon badiya honge Waise toh aapko …

Bank Of Baroda Current Account? | BOB Current Account Opening Online? | Bank Of Baroda Current Account Documents, Eligibility, Charges Etc..

Hello friends, Kaise ho aap sabhi log ummid hai sab thik thaak honge so aaj …

Uco Bank Current Account Open Kaise Kare? | Uco Bank Current Account Opening? | Eligbility, Documents, Charges?

Hello dosto, Kaise ho aap sabhi log asha karti hoon behartein honge aur aaj ke …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x