Hello everyone kaise hai aap sab theek asha hai aache honge honge aur khush honge toh aaj hum baat karenge ki vyapar mtlb business kaise kare aur uski aakir aapke life mai kya importance aur kyu aaj ke time mai log khud ka kaam mtlb business karna chahte hai kyuki wo apni life style ko change aur fincinal problem ko sudharna chahte hai aur business karne ka idea isse acha nhi ho sakta jiske liye bank jo hai aapki help loan ke jariye karta hai.
Table of Contents
Canara Bank Business Loan Kya Hai?
Jaise ki hum sab jaante hai aaj ke time koi business karna asan baat nahi hai chahe wo chota ya bada hii kyu na ho uske liye main baat invest karna jaruri hai jo ki aapke pass paisa hona jaruri hai tabhi yeh possible hai jo ki aap business ke liye canara bank se business loan le sakte hai.
Canara Bank Business Loan Benefits?
1.Aapko loan ka amount poora ek din mai hii de diya jata hai.
2.aap jb business loan lete hai toh aapko tenure time kaafi zayada mil jata hai.
3.Aur aapko loan lene par koi bhi security deposit nahi karni padti.
4.Aur loan lene par aapka loan jaldi process ho jayega.
Canara Bank Business Loan Amount?
Canara Bank ka business loan amount jo hai wo 10 lakh se 10 crore tak ka hai jisme aap business karne ke liye le sakte hai.
Canara Bank Business Loan Interest Rate?
Ab canara bank ke business loan interest rate ko dekhe toh yeh 10.50% to 18% canara ke hisab se itna interest aapko bank ko pay karna padta hai.
Canara Bank Business Loan Tenure?
Ab baat karte hai canara bank ke business loan tenure ki toh yeh aapko bank aapke hisab ka aur kaafi long time deta hai repayment ka toh ye deta hai 7 years tak ka time.
Canara Bank Business Loan Eligibility?
Canara Bank business loan ki eligibility kuch iss prakar hai..
1.Pahle toh aap Bharat ke niwasi ho.
2.Aur aapki age 18 plus honi chahiye.
3.Aap self employed hone chahiye.
4.Aapke pass business ka pancard hona chahiye.
5.Aapke pass koi na koi business hona chahiye.
6.Aapki age minimum 21 years honi chahiye.
7.Aur maximum age 65 years honi chahiye.
Canara Bank Business Loan Documentation?
Canara Bank se business loan lenge toh iske liye aapke pass kya kya documents hona chahiye..
1.ekyc documentation
Aadhar card yeh aapke hona aniwariya hai.
Voter id card isse aapki pehchan kari jaati hai
Pan card yeh business loan ke liye aapke pass hona chahiye.
Driving license yeh bhi aapke paas ho.
Authentic signature yeh toh harr loan ke liye jaruri hai.
2.Address proof documents
Electricity bill yeh aapke paas honge tabhi loan successfully approved hoga.
Telephone bill yeh aapke loan ke liye jaruri hai.
Ration card yeh aapke paas hona chahiye.
3.Occupation proof
MOA sheet jo ki ek business ke liye jaruri hai.
Account statement jo ki harr loan mai jaruri hai.
Business ka pancard yeh aapke business ko shuru karne ke liye chahiye hota hai.
Income tax return recently 3 year yeh bhi aapke hona chahiye.
Canara Bank Business Loan Processing Fee?
Is bank ki processing charges ki baat hum kare toh yeh kuch iss tarah hai canara bank ka charge 1% hai.
Visit : https://canara bank.com/User_page.aspx?menulevel=1&menuid=2&CatID=14
Canara Bank Business Loan Kaise Le / Canara Bank Business Loan Kaise Apply Kare?
Offline method:-
Pahle toh aapko canara bank ke official site par visit karna padega.
Uske baad menu aapko menu bar par click karna hai.
Fir loan ke option par aapko jana hai aur click karna hai.
Uske baad usme aapko canara bank msme ya business loan par click karna hai.
Fir saari details ke niche jana hai waha par aapko application form par tap karna hai.
Then application form mil jane ke baad uska printout karwana hai.
Application form ko acche se fill karna hai.
Uske baad ek passport size photo aur authentic signature karke with sabhi documents ko attached kar dena hai.
Application form ko canara bank ke branch par submit kar dena hai.
Finally ab aapka business loan apply ho chuka hai.
Conclusion?
Jaise ki aaj ke article mein humne dekha ki Canara bank aapki business loan dilwane mai kaise help karta hai aur uske liye kaise humhe loan provide krwata hai.
Asha hai aaj ka yeh article aapko pasand aaya hoga.
Aashish Kummarr