Breaking News

HDFC Bank Millennia Credit Card Kaise Le? | HDFC Bank Millennia Credit Card Kaise Apply Kare? HDFC Bank Millennia Credit Card Kaise Paaye? HDFC Bank Millennia Credit Card Kaise Le Sakte Hai?

Namakar bhaiyo aur kaise ho aap sab..

Aaj ki iss post mein hum log baat Karne waale hai banking related ek alag topic par charcha jo ki aap sabhi logo ke liye kaafi zyada important hone waali hai jaise ki sabse pahle humne banking facilities ke kaafi alag alag portion ko cover kiya hai to aese mein baat aati hai ki aaj hum banking facilities ki kis services ke upar charcha kare to mai aap logo ko bata doo ki waise aap logo ne debit card or credit card ke baare mein zaroor se suna hoga aur in topic ke upar bhi aapko variation mil jaati hai jin variation mein aapko in depth information milti hai to aaj hum yah janenge ki aap log credit card kaise le sakte hai aur saath hi kisi bhi ek bank ke particular ek credit card ke upar baat karne waale hai..

To aaj ke iss post mein hum log baat karne waale hai HDFC Bank se aap log credit card kaise le sakte hai to yah bhi jaan lete hai ki HDFC Bank ke kis credit ke baare mein baat kar rahe hai to aapko bata de HDFC Bank ka Millennia Credit Card kaise le sakte hai aur saath hi kaise aap log HDFC Bank Millennia Credit Card kaise apply karenge iske liye aap iss post ko pora end Tak read kare..

HDFC Bank Millennia Credit Card Kya Hai?

To aayiye aapko bata doo ki aakhir kya hai HDFC Bank Millennia Credit Card to isme aapko poori jaankari mai deta hoon iss bare mein to mai apko bata doo ki jaise ki baaki ke aap credit card use karte hai aur baaki ke jaise banks ke credit card hote hai usse kaafi alag aapko credit debit card dekhne ko milta hai HDFC Bank Millennia Credit Card mein jaha par aapko yah bata doo mai ki HDFC Bank Millennia Credit Card ka advantage kaafi alag hai aur iske use kaafi behatrin saabit ho sakti hai..

To aapko bata de ki HDFC Bank Millennia Credit Card ek online platform ka use karne waale logo ke liye kaafi behtareen credit card mein se ek hai jisme online shopping karne waale logo aur transaction karne waale logo ko kaafi accha cashback mil sakta hai aur yahi nahi jab aap log HDFC Bank Millennia Credit Card ka use par cashback aapko sirf online hi nahi offline shopping ke basis par aapko mil jaata hai….

HDFC Bank Millennia Credit Card Benifits?

To ab hum yah baat karte hai ki aapka HDFC Bank Millennia Credit Card ka kya benifits hai..

Cashback benifits aapko shuruaati time par mil jaata hai jab aap log credit card ka use offline or online shopping par karte hai tabb..

Jab aap HDFC Millennia Credit Card ka use karte hai tab aapko ispe dining benifits milte hai jisse good food trail dining program mein dekhne ko milta hai..

Jab aap kahi bhi online purchasing karte hai to 2000 ke buying value par 2.5% ka discount ke saath..

And jab aap log iss card ka use payzapp or smartbuy ke through karte hai to 2000 ke purchasing par 5% ka discount mil jaata hai..

Aur kucch inhi hisab se aapko ek mahine ke according 750 rupees tak ka cashback mil sakta hai jo ki kaafi attractive hoga..

Aap lounge exprees ka use kar sakte hai airport par use sirf 2 rupees ke use se..

Aapko fuel surcharge par bhi discount mil jaata hai jab  aap 400 rupees ke extra fuel purchasing par HDFC Millennia Credit Card use par mil jaata hai..

Jab aap log HDFC Bank Millennia Credit Card lete hai to aapko welcome gift milta hai 1000 rewards points ke tor par jo ki aapko 100000 ke buying par mil jaata hai jab aap iss card ka use karenge…

Jab aap HDFC Bank Millennia Credit Card lete hai to shuruaat mein aapse joining fee lete hai par jab aap iss card ka use 30000 rupees tak ka expenses karte hai to aapko joining fee maaf ki jaati hai 90 days ke according..

And jab aap 100000 rupees ka expenses iss card ke through karte hai to aapko yearly subscription charges bhi free kar dee jati hai..

HDFC Bank Millennia Credit Card Eligibility?

To aayiye jaante hai ki HDFC Bank Millennia Credit Card ka jab aap lena chahenge to iski kya yogyata hogi..

Aapki age kam se kam 21 years and maximum to maximum 60 years tak honi chahiye..

Aapki monthly salary 25000 rupees hona chahiye and aap self employed hue to aapko 3.5 lakh rupees per year honi chahiye..

HDFC Bank Millennia Credit Card Lene Ke Liye Documentation?

Aapke paas sabhi eKYC documents hone chahiye like Aadhar Card, Pan Card, Driving Licences, Voter ID Card & Passport

Aapke address proof hone chahiye jaise ki Electronic Bill, Telephone Bill, Aadhar Card

Income Proof hona chahiye like Salary Slip

HDFC Bank Millennia Credit Card Lene Ke Liye Koi Joining Fee Deni Hoti Hai?

Yes .. Aapko joining fee deni hoti hai agar aapko HDFC Bank Millennia Credit Card lena chahte hai to jiske liye aapko 1000 rupees pay karna hota hai..

HDFC Bank Millennia Credit Card Joining Fee Cost Off?

To baat karte hai agar aap HDFC Bank Millennia Credit Card Joining Fee aapko maaf iss condition mein ho jaati hai jab aap 90 days ke under mein 30000 rupees se zyada expense kar dete hai..

Advertisement

HDFC Bank Millennia Credit Card Limit?

To yah totally depend karta hai aapke profile portfolio par jiske basis par yah decide hota hai..

HDFC Bank Millennia Credit Card Minimum Fee?

To baat karte hai ki aap agar HDFC Bank Millennia Credit Card use karte hai to aapko kal se kam 5% or 200 rupees ka cost pay karna padta hai..

   

HDFC Bank Millennia Credit Card Kaise Le? / HDFC Bank Millennia Credit Card Kaise Apply Kare?

To agar aap log bhi HDFC Bank Millennia Credit Card lena chahte hai

To sabse pahle aapko HDFC Bank ki official site par visit karna hai..

Uske baad aap HDFC Bank Millennia Credit Card ka option aapko choose karna hai card ke section par jaakar ke

Then aapko section milega jisme sabse pahle aapko aapko basic detail iske baad aapko apna mobile no.daalna hai..

Then aapko OTP milega sms ke through then use valid put karna hai..

Then aapko apni personal or professional details ko fill karna hai..

Then aapko profile par aapka credit card show karega..

Then total credit card mein se HDFC Bank Millennia Credit Card ko choose kare.

Then aapko office Related details daalni hai..

Then process complete karte hi aapka credit card apply ho chuka hai…

Ab aapko consultant team ke call aane ka wait karna hai then confirmation..

Conclusion?

To aasha hainki aapko Aaj kinyah post pasand aayi hogi jisme humne yah jaana hai ki aap log kaise HDFC Bank Millennia Credit Card kaise le sakte hai aur saath hi kaise apply kar sakte hai ummid karta hoon ki aapko yah post pasand aayi hogi..

Ummid karta hoon ki aapko post pasand aayi..

“Shukriya Aapka” 

About Aashish Kummarr

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x