Hii sathiyao,
Kaise ho aap log sabhi asha hai acche bhale honge toh dosto aaj ka topic aap logo ke liye kaafi accha hone wala hai jisse aap apni problem ko solve easily kar sakte hai aur ek esa account open karwa sakte hai jisme ki aapko kaafi madad mil sake aur iss account ko open karwane ke liye kya kya process hai toh aage aap sabhi iss current account ke baare me jaanenge.
Waise aaj ke time harr kisi ko hi apne paiso ko save karna accha lagta hai bhale wo paise aage future ke expansion ke liye ho ya koi bhi business shuru karna ho aur aaj ke time mein paise ki need sabhi ko hai taki wo apna chota hi sahi magar khud ka startup laga sake isliye current account ek business man ke liye hi jaha wo apne paiso ko rakh sake aur bank se transaction easily kar sake.
Table of Contents
HDFC Bank Current Account Kya Hai?
Yeh ek tarah ka bank account hota hai jo ek toh business karne ke liye aur dusra startup aur organisation ke liye khola jata hai jise hum current account kehte hai jaha aap HDFC Bank mein apna current account open karwa sakte hai.
HDFC Bank Current Account Opening ke Benefits?
1.Current account mein paise deposit aur withdrawal karne ki koi limitation nahi hoti hai.
2.Aur paiso ko desh ke kisi bhi hisse se related account mein transfer Kiya ja sakta hai.
3.Home branch se aap kitne bhi paise nikal sakte hai.
4.Net banking ke dwara hum apne mobile phone se khi se bhi payment kiya ja sakta hai isme koi limitation nahi hoti.
HDFC Bank Current Account Opening Eligibility?
1.private and public limited company aap inme se kisi ek company ko own karte hone chahiye.
2.Partnership firms yaani ki Jab do ya uske adhik logo ke saath business kar rahe ho.
3.Sole proprietor yaani ki aap ka khud ka akele ka business hona chahiye.
4.Hindu undivided family se hone chahiye.
HDFC Bank Current Account Opening Documentation?
1.GST registration certificate ho with the number me saath mein.
2.Regestra. Certificate issued hota hai professional tax authorities ke dwara uska certificate dena hoga.
3.Agar aapka business(food safety and standards authority of India (FSSI)Toh iska licence hona chahiye.
4.Aapko jo hai property tax, water tax bill show karni padegi.
5.Property registration certificate hona mandatory hai.
6.property tax report aur rent agreement hona chahiye.
7.Existing bank account statement honi chahiye jo account current mein open hai uska.
Visit : https://www.hdfcbank.com/personal/save/accounts/current-accounts
HDFC Bank Current Account Open kaise kare In Online Mode?
Pahle HDFC Bank Current apply online pe click karna hai.
Uske baad aapko Eligibility ko choose karna hai.
Then Identity profile complete karna hai.
Mobile number daal kar OTP verify karna hai.
Iske baad eKYC documents ke according date of birth daalni hai.
Uske identity profile complete karna hai.
Then aapkoBusiness profile daalni hai.
KYC documents ko verify karna jaise aadhar card pan card.
Iske baad contact details daalni hai jaise parents ke mobile number.
Uske baad aapko Email id daalni hai.
Fir Video kyc verification complete karna hai.
Uske baad aapko usme paise daalne Honge.
24 ghante me account open ho jayega.
HDFC Bank Current Account Open kaise kare In Offline Mode?
Sabse pahle aapko chrome browser pe jana hai.
Search karna HDFC Bank Current Account application form ko.
Iske baad aapko HDFC Bank ki website mil jaayegi.
Then form ko Download karna hai.
Then Print karwa na hai aapko.
Uske baad aapko Important documents ko attach karna hai.
Uske baad account ke liye paise denge honge.
Uske baad 24 ghante me account open ho jayega.
HDFC Bank Current Account Opening GST Needed?
Jii nhi esa zaruri nahi ki current account open karwane ke ke liye GST Need hoti hai bina gst ke bhi aap apna current account open karwa sakte hai.
HDFC Bank Current Account Minimum Balance Management?
HDFC Bank ki baat kare toh Isme aapko minimum average balance 90 days mein aapko 10,000 maintain karna padta hai.
HDFC Bank Current Account Opening Charges & Fees?
Agar Aap iss balance ko sahi tarike se maintain nhi kar pate toh fir aapko 1500 iska charge dena padega.
HDFC Bank Current Account Passbook Provide karwata Hai?
Yes,jaise ki sabhi banko mai account open karwane ke baad aapko passbook milta hai isme bhi aapko account open karwane ke baad aapko passbook milta hai.
HDFC Bank Current Account ATM Card Milta Hai?
Isme aapko ATM Card ki facilities provide karwai jati jisse aap paiso ko khi se bhi nikal sakte hai ATM Card ke through.
HDFC Bank Saving Account ko Current Account Mein Convert kar Sakte Hai?
Jii nhi hum apne account yaani ki saving account ko current account mein convert bilkul bhi nhi kar sakte.
Conclusion?
Toh aaj ke article ke madhyam se aap logo ne samjha hoga ki current account ko open karwane ke liye aapke pass kon konse documents hona zaroori hai jisse aap current account easily open karwa sake.
Ummid karti hoon aapko yeh article pasand aaya ho.
Aashish Kummarr