Namaskar sathiyao,
Toh kaise hai aap sabhi asha karti hoon badiya honge Waise toh aapko sabhi account ke baare me pata hoga ki konsa account kya aur kaise kaam karta hai toh aaj hum unhi mein se ek account yaani ki current account ke baare me charcha karenge aur samjhenge ki yeh account kaise aur kin logo ke liye kaam karta hai aur kon log eligible hote hai iss account ko open karwane ke liye.
Iss account ko mostly tor par dukandaar, shopkeeper ya business upayog mein zayada laate hai taki inka business acche se grow kar sake aur inka Saalna tanover bhi zayada hi hota hai yeh log tabhi current account ko zayada prefer karte hain.
Table of Contents
Union Bank of India Current Account kya Hai?
Current account ko hum aamtor par chalu kahta bhi kehte hai aur yeh account business man ke liye hota hai jisme zayada amount mein transaction Kiya jata hai badi se badi transaction ke liye best option hai current account.
Union Bank of India Current Account ke Benefits?
1.Unlimited number of payment aap kitne bhi paiso ka transaction kar sakte hai.
2.Overdraft facilities yaha provide ki jati hai.
3.Internet banking facility bhi provide karwai jati hai.
4.Low minimum balance requirements yaani ki kitna balance required hoga maintain ke liye.
Union Bank of India Current Account Eligibility?
1.Koi bhi person Clubs,and association se joint hoga toh wo bhi account ke liye apply kar sakta hai.
2.Coperative society yeh wo jo ese yakatio Swayamsevi organisation hai jo apne economic rights ke liye kaam karti hai yeh sab bhi eligible ho sakte hai account open karwane ke liye.
3.Trust koi company ya vyakti hota jo kisi bhi third party ke liye asset to rakhta hai aur security bhi karta hai.
4.Sole proprietor yaani ki jo business hai aapka khud ka akele ka hona chahiye.
Union Bank of India Current Account Documentation?
1.pan card jo ki sabhi ke liye mandatory hai dena account opening ke liye.
2.Passport size photograph honi chahiye jisse account ka process shuru ho paye.
3.Aadhar card jo ki document verification ke liye important hai.
4.aadress proof ke liye voter card , driving license aur jaha aap rehte hain uska praman patr hona chahiye.
5.Business ke verification ke liye business ke MOA sheet, business ka pan card , business ka licence aur municipal corporation ki hami saath hi aapka business kab stablish hua hai uska certificate hona chahiye.
6.MSME registration Certificate , udhyog aadhar number , udyam registration certificate , income tax returns aapke pass maujud ho.
7.Balance sheet last 3 year ki aur ITR file iske alwa bank statement bhi dikhana padh sakta hai.
Visit : https://www.unionbankofindia.co.in/english/personal-regular-current.aspx
Union Bank of India Current Account Open kaise kare In Offline Mode?
Sabse pahle aapko browser pe jana hai.
Uske baad aapko union bank of india current account application form search karna hai.
Then website pe click karna hai.
Uske baad aapko pdf form mein application form ko download karna hai.
Then aapko apni personal details ko fill karni hai.
Uske baad aapko contact details ko fill karni hai.
Then address details ko bhi fill karna hai uske baad aapko type of account mein current account pe tick karna hai.
Then mode of operation ko fill karna hai uske baad kuch paise deposit karna padega.
Then aapko apne signature karke submit kar dena hai branch mein jaakr.
Union Bank of India Current Account Opening GST Needed?
GST ki baat kare toh isme aapko GST ki zarurat padti hai current account ko open karwane ke liye
Agar nhi hai toh aapka account eKYC ke through open ho jata hai.
Union Bank of India Current Account Minimum Balance Management?
Isme aapko minimum balance jo hai 50,000 se lekar 5 lakh tak average balance maintain karna padta hai.
Union Bank of India Current Account Opening Charges &Fees?
Ab baat karte jab aap current account ko open karwate hai toh aapko isme koi charge dena padta ki nhi toh isme aapko koi bhi charge pay karne ki zarurat nhi hoti.
Union Bank of India Current Account Passbook Provide karwata Hai?
Agar aap log union bank of india mein apna current account open karwate hai toh aapko passbook jaisi facility milti hai.
Union Bank of India Current Account ATM Card Milta Hai?
Toh baat karte hai ki jab aap union bank of India mein current account open karwate hai tab aapko jo ATM Card mil jata jisse transaction easily ho paye.
Union Bank of India Saving Account ko Current Account Mein Convert kar Sakte Hai?
No aap saving account ko current account mein convert nahi kar sakte hai as per the rule of bank.
Conclusion?
Aaj ke article mein aapne jaana hogi ki current account kaise kaam karta hai aur aap log kaise union bank mein apna current account ko open karwa sakte hai.
I hope so ki aapko yeh article pasand aaya ho.
Aashish Kummarr