Breaking News

Uco Bank MSME Loan Apply Online? | Uco Bank Pradhan Mantri Mudra Yojana Loan Apply Kaise Kare? | Uco Bank PMMY Loan

Hello saathiyo,

Kaise ho aap sabhi log i hope so ki sahi salamat honge toh aaj ka article hai uco bank Pradhan Mantri Mudra yojna Loan ke baare mein ki yeh kya aur konsa loan hai toh mein aapko bata doo ki yeh ek government dwara nikali gyi schmes mein ek schmes yeh hai pradhan mantri Mudra yojna jisse aap apne business ke liye loan le sakte hai..

Jaise ki aap sabhi ko yeh baat acche se pata hogi ki aaj ki date mein job ko lekar sabhi ko pareshani hai aur job base par ya salary base par jo vyakti kaam kar Raha hai uski income itni acchi ya itni zayada nahi hai ki wo apne expenses ko acche se utha sake jiske liye wo aksar inhi sab pareshani mein hote hai ki agar wo soche ki ek business start kare bhale wo chota kyu na ho toh yaha baat funding ki jati hai ki usko kaise manage kare..

Too mai bata doo ki inhi sabhi preshani ko dur karne ke liye hi government ne yeh scheme nikali hai jiska naam hai pradhan mantri Mudra yojna jaha se aap business ko easily start kar sakenge aur apne expenses ko aache se handle kar sakenge aur aage hum iske poore process ko dekhenge aur samjhenge.

UCO Bank Pradhan Mantri Mudra yojna kya Hai?

Toh upper aap samjh chuke hai ki yeh loan kis prakar kaam karta hai UCO Bank Pradhan Mantri Mudra yojna jo ki government schmes hai jisme aap kitna bhi amount le sakte hai business karne ke purpose se chahe wo Chhota ya bada kyon na ho jisko help yeh scheme pmmy karwati hai.

UCO Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ke kya Benefits Hai?

1.UCO Bank ek commercial bank hai jo apne customer ko business karne ke liye loan provide karwati hai.

2. Iss schmes ke through hii chhote business man ko loan diya jata hai.

3.yaha aapko loan amount accha khasa mil jata hai.

4. Jinhe business karna hai Chhota ya bada wo yaha se loan easily le sakte hai aur iska fayda har kisi ko mil sakta hai jo UCO Bank se loan lena chahta hai.

5. Isme aapko tenure timing bhi kaafi accha aur suitable milta hai.

UCO Bank Pradhan Mantri Mudra yojna se kitne Amount Tak ka Amount paa sakte Hai?

Toh mai aapko bta doo ki agar aap uco bank se loan lete hai toh bank aapko kitna amount le sakte hai toh yeh hai  50,000 se lekar 10 lakh tak ka amount hai.

UCO Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ka Interest Kitna pay karna padta Hai?

Ab hum jaante hai ki uco bank se loan lene par aapko kitna interest pay karna padega toh yeh hai 8.85% jiska byaj aapko bank ko dena hota hai.

UCO Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Tenure Timing?

Ab baat karte hai uco bank ke tenure timing jo ki bank decide karta ki aapko loan kab aur kitne samay baad dena hota hai toh yeh hai 3 to 5 years tak ka duration time.

UCO Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Eligibility?

1.Sabse pahle ki aap Bharat ke niwasi hone chahiye.

2.Iss loan ke liye yeh hone chahiye jaise ki partnership firm, private limited, public limited company.

3.Iske baad aapki age kam se kam 18 years honi chahiye.

4. Aur zayada se zayada age 65 years honi chahiye.

5.Aur koi na koi business entity se juda hona chahiye.

6. Aur isme financial Stable hone chahiye aur repayment history bhi kaafi thik ho.

UCO Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Documentation?

Ab hum uco bank ke documents ke need ko dekhte hai ki loan ke liye apke paas kon kon se documents hone chahiye…

1.Identiy proof ke liye aapke pass aadhar card, pan card, voter id card , passport, driving license  etc.

2.Aur residents ke liye aapke pass electricity bill, telephone bill, passport etc.

3.Ab baat kare business documents ki toh yeh hone chahiye license of the business unit, business establishments certificate etc.

4.Bank account statement honi chahiye last 6 months ki.

5.Aur apply kar rahe hai unki 2 passport size photograph honi chahiye jisse loan submit ho sake.

6.Balance sheet honi chahiye last 2 year ki.

7.Estimated balance sheet honi chahiye form coming year ki.

UCO Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Contact Helpline Number?

18001030123

Visit : https://www.ucobank.com/English/msme-products.aspx

UCO Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Loan kaise apply kare …

Pahle aapko UCO Bank ke official portal par jana hai.

Fir aapko mudra loan ka print out nikalwana hoga.

Then application form ko acche se fill karna hai.

Uske baad application form ke saath attach karne hai necessary documents ko.

Fir submit karna hai apne nearest branch uco bank mein.

SHISHU YOJNA

Sabse pahle uco bank ke website par jana hai.

Then borrow option mein jansamarth par click karna hai.

Account banana hai waha uske baad business loan wale section par click karna hai.

Fir other business loan wale option par click karna hai.

Then waha par details ke option choose karke loan amount choose karna hai.

Shishu yojna mein amount 50,000 ke andar daal sakte hai.

Jisme aapko yaha bhi batana hai ki kitna paisa aap khud se laga sakte ho business mein or kitna ka loan chahiye.

Advertisement

Uske baad details bharo documents upload and loan apply.

TARUN YOJNA & KISHOR YOJNA

Jaise ki upper wale shishu yojna mein bataya gaya hai same process isme bhi hai pahle aapko UCO bank ke website par jana hai.

Then borrow option mein jansamarth par click karna hai.

Uske baad account banana hai fir business loan wale section par click karna hai.

Then other business loan wale option par click karna hai.

Then waha par details ke option choose karke loan amount choose karna hai.

Aur kishor ka amount 5 lakh ke andar dalna hoga toh tarun mein 10 lakh tak ka amount.

Jisme aapko yeh bhi batana hai ki kitna paisa aap khud se laga sakte ho business mein or kitna ka loan chahiye.

Aur uske baad details bharne ke baad upload and loan apply.

Kya UCO Bank ke alawa sabhi banks Pradhan Mantri Mudra yojna provide karwate hai?

Iska answer hai yes sabhi banks jo hai aapko Pradhan Mantri Mudra yojna loan dilwati hai.

Kya sabhi loan collateral free loans mein aate hai yaa nahi?

Toh iska answer mein aapko bata do toh nhi par Pradhan Mantri Mudra yojna mein aapko collateral free services mil jati hai.

Conclusion?

Toh aaj ke article mein aapko Pradhan Mantri Mudra yojna jo government ki scheme hai uska use karke aap business karne ke liye loan kaise aur kis prakar se le sakte hai jisse humne poore article mein dekha hai.

Ummid karti hoon aapko yeh article samajh aaya ho.

Aashish Kummarr

About Aashish Kummarr

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x