Hello guys,
Toh kaise hai aap sabhi log ummid karti hoon behartein honge so guys aaj aap jaanenge ki Pradhan Mantri Mudra yojna loan kis type ke loan mein aata hai aur kon log hi isko afford kar sakte hai upper class ke log ya middle class families bhi toh mai aapko bata doo yeh loan sabhi logo ke liye jisko apna chota ya business shuru karna ho jiske
liye aapko iss article ko starting se end tak poora read karna hoga aur mujhe ummid hai ki aapko yeh article pasand bhi aayega…!
Basically yeh schmes jo hai Sarkar ne laayi hai toh isme aap logo ko kaafi saare fayde dekhne ko milenge sarkar ne pmmy jaisi schmes laai aur bhi kaafi saare schmes hote hai jo ki logo ko loan de kar unke karobar ko shuru karne mein help karti hai lekin Pradhan Mantri Mudra yojna kaafi accha aur behartein schmes mein se ek hai jaha aap ko kisi bhi type ke business karna ho ya usko badana ho toh sarkar aapko loan ke through aapki madad karti hai.
Table of Contents
Canara Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Loan kya Hai?
Yaha aapko aapke khud ke vyapar ko badane aur usko poora protsahan sarkar ke side se as a loan aap logo ko easily mil jata hai aur affordable interest rate pe kyuki yeh schmes government ki schmes mein se ek hai aur kaafi better hai aap logo ke jo ki canara Bank aapko provide karwati hai.
Canara Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ke kya Benefits Hai?
1.yah schmes jo hai Collateral free loans mein aata hai.
2.Isme aapko loan return yaani ki tenure timing kaafi sahi mil jata hai.
3.yaha pe chote chote industry ko kaafi help milti hai jisse wo apna vyapar shuru kar paye.
4.Iss loan processing fee aapko bilkul bhi deni nhi hoti.
Canara Bank Pradhan Mantri Mudra yojna se kitne Amount Tak ka Amount paa sakte Hai?
Kisi bhi business ko shuru karne ke liye sabhi ke liye uska amount kaafi important rakhta hai ki bank aapko kitna amount deti hai jisse aap apna business shuru kar paye toh isme aapko 10 lakh ka amount diya jata hai.
Canara Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ka Interest Kitna pay karna padta Hai?
Jo business ka owener hai jo loan apply kar raha hai uske vyavsay ke zaroorat ke hisab ke aadhar par hi dekha jata hai ki interest kitna aur aapko kitna pay karna padega.
Canara Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Tenure Timing?
Canara Bank Pradhan mantri mudra yojna mein aapko Iske amount ko return karne ka samay kitna milta hai toh isme aapko 7 years tak ka time mil jata hai.
Canara Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Eligibility?
1.Aur bank aapko loan degi ya nahi yeh sab bank aur aapki credit history civil score par depend karta hai ki aapko milega ya nahi.
2.Aapki age jo hai wo 25 to 55 ke bich mein honi chahiye.
3.Sole proprietorship aur only individual hi iss loan ke liye eligible hai iss platform se loan lene ke liye.
4.Only indian hi iss loan ke liye eligible hai.
5. Aapka business hai wo kam se km 6 month se continue chal Raha ho aur saath hi m aapka bank account activate picchle 6 month se zada ka hona chahiye.
6.Applicant kisi bhi tarike se business ka purpose bol ke liya hua Loan se koi other activities na kare otherwise wo iss loan ko nahi le payenge ya loan unko nhi mil payega.
Canara Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Documentation?
1. Company establishment certificate ki aapki kab sthapit hui uske certificate hone chahiye.
2. Last 12 month ke bank account statement honi chahiye.
3. Passport size photographs or filled application forms honi chahiye.
4. Proof of belonging ke taur par SC,ST,OBC for minority group ke certificate hai toh aap de sakte hai.
5.Ekyc Documents ke roop mein voter ID card, password driving licence, PAN card, aadhar card,utility bills (water and electricity bill) honi chahiye.
6.project report jo ki aapko waha show karna hoga jisse aapne future projects ke roop mein soch ke banwaya ho.
7.Aapke business ke indentity ke roop mein business pan card, licence business registration certificate hona chahiye.
8.Aur aapka business karne ki jagah rent par hai ya leased krwai hai uska agreement dena padh sakta hai.
Canara Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Contact Helpline Number?
18001030
Visit : https://canarabank.com/User_page.aspx?othlink=482
Canara Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Loan kaise Apply kare..
Online Method:-
Sabse pahle aapko browser par jana hai.
Uske baad aapko search karna hai canara bank.
Then website par click karna hai.
Uske baad aapko scroll karna hai aur jansamarth ka national portal par click karna hoga.
Then jansamarth website open hogi.
Fir aapko registration karna hai naye account pe.
Account ko create karke login par jana hai.
Then aapko home page par jaakr login karna hai.
Fir aapko business activity loan pe jana hai.
Then aapko other business loan par tap karna hai.
Aapko details fill karne ke saath hi loan ki schmes aa jayegi.
Uske baad mudra loan ko select karna hai fir Proceed kar dena hai.
Then jo documents zaruri hai wahi dena hai aur proceed par click karna hai.
Then accept all consent form then loan ke process ko shuru karna hai.
Iske baad verify identity jo ki bahut zaruri hai.
Then business pan card aapke business ko verify karenge.
Then udyam registration certificate chahiye hoga jisse ki aapka business msme ke under aata ho uska registration certificate chahiye.
Aadhaar number ya udyam number se bhi identity verify ki ja sakti hai.
Aur agar aapke business par GST registration hoga to popup nahi hoga lekin na registration karne par aapko batana hoga ki aapke business par GST applicable kyu nahi hai.
Aur GST agar link hota to automatically aap ke samne chije hogi na hone par aapko business ke baare mein basic details dete huye aapko aapko pichle 12 mahino ka sales details dena hoga.
Uske baad aapko apne income ko verified karne ke liye bank statement aur isi ke saath hi last 3 year ki ITR file ko upload kar sakte hai.
Saath hi aapka kitna expense and investment hoga wo aapko mention karna hai.
Uske baad aapko canara bank se mudra loan lena hai ya msme hai toh usko bank account se link karna hai.
Then aapko account number daalna hai aur since date ki kabse shuru hua aur khatam kab hua.
Saving account ho ya current account ya koi aur wo daalna hai.
Aapke account mein aapka kya naam likha hai wo daalna hoga.
Then aapko association concern par tap karna hai aur usko fill karna hai.
Fir aapko apne business ki details fill karni hai aur business ke baare me sabhi information deni jo bhi usme maangi hai.
Fir aapko jo loan chahiye business loan ke tor par jaise ki aapko msme ya mudra loan daalke kitna amount aur kis type ki facility mein chahiye wo batana hai.
Aapne isse pahle koi bhi kisi bhi kaam ke liye loan liya hai to wo bata dena hai.
Uske baad aapko jo hai apne documents ko online upload kar dena hai.
Fir review ka option dikhega usme dekh lena hai ki koi changes karna hai to kar sakta hai.
Iske baad aapko Canara Bank se aapko jo loan lena hai wo choose karna hai.
Aur last mai aapko submit ke option par tap kar dena hai.
{Particular Canara Bank Shishu Mudra Loan}
Shishu Mudra Loan par aapko tap karna.
Jiska canara bank mein account ho wahi shishu loan le sakta hai.
Uske baad aapko account number daal kar yes par click karna hai.
Then proceed par click karna hai.
Uske baad aapko account number daalna hai aur fir OTP daal kar.
Uske baad proceed par tap karna hai.
Then shishu Mudra loan par click karna hai.
Uske baad aapko loan amount ko choose karna hai slide ke madhyam ki kitna amount chahiye.
Aur uske baad kitne samay ke liye loan chahiye aur interest rate kitna chahiye hona chahiye aapke hisab se.
Offline Method:-
Aapko Canara bank search karna hai browser pe.
Search canara bank mudra loan application form.
And aapko website pe click karna hai form pe.
And you get form pdf hogi.
Now you will print mudra form ko karna hai.
And Fill the details and aur aapko kis mudra mein kitna amount chahiye wo daalna hai.
Aur aapko documents ko attach kar dena hai.
And go to branch bank and submit the application form.
Kya canara bank ke alawa sabhi banks Pradhan mantri mudra yojna provide karwate hai?
Hanji zyadatar banks aapko loan yaani ki Pradhan Mantri Mudra yojna Loan ko provide karwate hai.
Kya sabhi loan collateral free loans mein aate hai yaa nahi?
Nahi sabhi loan toh nahi par Pradhan Mantri Mudra yojna mein collateral free services mil jati hai aapko.
Conclusion?
So,aaj ka article aap logo ke liye kaafi useful raha hoga kyuki isme chote chote vypaari ko sarkar ke taraf se apne business ko shuru karne ka acha khasa opportunity mil jati hai jaha aapko interest bhi kam pay karna padta hai.
Ummid karti hoon aapko yeh article pasand aaya ho.
Aashish Kummarr