Namaskar sathiyao,
Aur kaise ho aap log asha karti hoon ki thik thak honge toh aaj ke article mein baat karne wali hoon Pradhan Mantri Mudra yojna Loan kis prakar ka loan hai jiske baare mein mai aapko iss article mein bataungi jiske liye aapko iss poore article ko padh kar samjh aayega iss yeh article aap logo ke liye kitna faydemand hoga…
Ye loan chote business krne vale vyakti ko bahut hi easily milta hai kyuki isme sirf chote business ko bhi Dhyan diya jata hai jese koi rikshaw ya tractor kharidna, koi shop kholna , koi choti si company start krna etc.. harr insaan apne liye hi kuch alg krna ka sochta hai taaki vo apni zarurate puri kr sake isliye vo business karne ki chah rakhta hai but ye chote business ko start karna hr kisi ki baat nhi kyuki loan lena bhi bahut mushkil hai log na hi itna interest de sakte hai na hi itne documents issiliye zyada tar vyakti apne ye chote se business ko start karna hi nhi kr paate hai aur jo direct bank se loan leke business shuru kar bhi dete hai unpr interest ka burden hi itna ho jaata hai ki zindagi bhar return krte reh jaate hai issiliye Mai aapko bta doo axis bank Pradhan mantri mudra yojna aapko loan provide krti hai kaafi ache interest rate pe jo hr middle class vyakti le sakta hai aur apna chota se chota ya bada business start kar sakta hai.
Table of Contents
Axis Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Kya Hai?
Aap apne business ko shuru karne ke liye aur chahte hai ki aapko business shuru karne mein aapki bank help kare toh Pradhan Mantri Mudra yojna ke dwara aapko loan diya jata hai jo ki aapke karobar ko badane mein help karega aur yeh loan chote business man ko diya jata hai.
Axis Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ke kya Benefits Hai?
1.Yah loan self employed ko asani se loan deta hai.
2.yeh schmes ke tahat small scale industries ke through employment creation karna.
3.Mudra loan lene par aapko koi bhi security deposit nahi karni padti.
4.Aur isme no processing fee hai yaani ki iss loan lene par aapko koi bhi processing fee deni nhi hoti hai.
Axis Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Se Kitne Amount Tak ka Amount paa sakte Hai?
Sabse pahle isme category divided hai jaise ki shishu yojna mein aapko 50,000 aur kishor mein 5 lakh aur Tarun mein 10 lakh tak ka amount diya jata hai.
Axis Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ka Interest Kitna pay karna padta Hai?
Axis Bank ka interest rate jo ki harr bank ka toh alag alag hota hai isme bhi kaafi alag hai jisko loan ke saath aapko interest 8-12% par annum ke hisab se dena hota hai.
Axis Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Tenure Timing?
Iski tenure timing ki baat kare ki aapko loan ko return karne ka time toh axis bank ke anusar aapko 3-5 years tak ka time mil jata hai loan ko chukane ka.
Axis Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Eligibility?
1.Aapka business chota hona chahiye aur non- farm mein aana chahiye.
2. Aur aapka business manufacturing trading aur service mein aana chahiye.
3.Aapka business income generating activities mein engaged hona chahiye taki aapko loan dene mein asani ho sake.
4.Aapki age 18-21 saal se upper hona chahiye.
5.Aap Bharat ke citizens hone chahiye.
Visit : https://www.axisbank.com/retail/loans/business-loan/mudra
Axis Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Documentation?
1.Aapki identity ke liye aapke pass voter id card, driving licence, aadhar card,pan card, passport etc.
2.Apne residence ke liye aapke pass telephone bill, electricity bill, property tax receipt jo ki 2 month se purane na ho aur saath hi aadhar card, voter id card, proprietor,partners, directors de sakte hai.
3.Aur aapke pass caste certificate jaise ki SC, ST, OBC ke certificate hone chahiye.
4.Aapke business ke liye yah hona chahiye ki business licence certificate, registration certificate aur business ke premises ki ki wo place rent par hai ya leased par hai unn ke agreement chahiye honge.
5.Aapke business ke identity ke tor par business pan card, licence business certificate dena hota hai aur jis bhi kisi business par aapka as a owner hai uske documents dikhane padte hai.
6.Aapko bank ko last 2 year ki balance sheet aur
aur saath hi income tax ,sale tax return ke documents dene honge.
7.Memorandum and articles of association of the company partnership deed of partners ke dastavej ho.
8.Sales details jis bhi saal mein aap loan ke liye apply kar rahe hai thik uske ek saal pahle ki details dikhani zaruri hai.
Axis Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Contact Helpline Number?
1860-500-5555
Axis Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Loan kaise Apply kare…
Offline method:-
Pahle aapko Browser pe jana hoga.
Then aapko search bar pe jana hai.
Usme axis bank Pradhan mantri mudra yojna loan par.
Iske official website pe jana hoga.
Form ke niche aapko other link ka option show hoga uss par tap karna hai.
Uske baad aapko download form par click karna hai.
Fir click karna hai loan ke option pe.
Then application form aayega tab jaake aapko form ko fill karna hai.
Uske baad documents ko attached karna hai.
Uske baad aapko branch mein jaakr form ko submit kar dena hai.
Kya axis bank ke alawa sabhi banks Pradhan Mantri Mudra yojna provide karwate hai?
Hann zyadatar banks aur sabhi banks aapko yaani ki Pradhan Mantri Mudra yojna Loan ko provide karwate hai.
Kya sabhi loan collateral free loans mein aate hai yaa nahi?
Nahi sabhi loan to nhi but Pradhan Mantri Mudra yojna mein collateral free services provide karwai jati hai.
Conclusion?
Toh aaj ke article mein aap ne basically Pradhan Mantri Mudra yojna kya hota hai uske fayde aur kis prakar se aap eligible hai iss loan ko le lene ke liye jisse aapko yeh loan diya ja sake.
I hope so ki aapko yeh article samajh aaya ho.
Aashish Kummarr