Toh aur saathiyon kaise hai aap sabhi toh aaj hum iss article mai hum baat karenge ki Pradhan Mantri Mudra yojna se aap apna khud ka kaam kaise shuru kar sakte hai aur jaise ki aap sabhi jaante hai jo vyakti job karta hai wo apne kharcho ko hii acche se poora nhi kar pata toh wo business kaise karega job karne wale person ko itne salary hii nhi mil pati ki jiss ke baare mein wo soch sake ..Business toh harr ek vyakti karna chahta hai taki apne kharcho ko poora kar sake aur aage invest ke liye bhi uske paas rahe jo ki harr kisi ko zarurat hai baat yaha par paise ki aa jati hai ki unko itna amount kon aur kis base par dega uski funding ki tension toh mai bata doo ki aapko isme help govt dwara nikali gyi schmes help karegi jiska naam Pradhan Mantri Mudra yojna hai
Isliye inn sabhi ke liye problem ka solution hai ki aapko government dwara nikali gyi schmes Pradhan Mantri Mudra yojna hai jiske dwara aap loan ko easily yaha se le sakte hai jo ki bank of baroda aapko dilwane mai help karegi.
Table of Contents
Bank of Baroda Pradhan Mantri Mudra Yojna kya Hai?
Toh baat karte hai Pradhan Mantri Mudra yojna ki toh yeh govt.dawara nikali gyi schmes mai se ek hai jo ki kisi bhi person ko uske business startup karne mai help karti hai chahe kisi bhi prakar ka business ho jisko wo shuru karna chahta ho jisse bank of baroda mai se ek bank jo ki aapko business karne ke liye loan provide karwati hai.
Bank of Baroda Pradhan Mantri Mudra Yojna ke kya Benefits Hai?
Pahla benefit yeh hai ki aapko business karne ke liye loan easily mil jata hai..
iska laabh har ek vyakti utta sakta hai..
isme aapko interest bhi itna pay nhi karna padta..
Aur jinko business karna hai jaise ek middle class family wo loan yaha se le sakte hai..
Aur iss loan ko lete samay aapko koi bhi asset as a security deposit nahi karna padta.
Bank of Baroda Pradhan Mantri Mudra Yojna se kitne Amount tak ka amount paa sakte Hai?
Ab hum dekhenge ki bank of baroda aapko kitna amount jo hai provide karwati hai jo hai 10 lakh yeh amount aapko bank deti hai Pradhan Mantri Mudra yojna ke tahat.
Bank of Baroda Pradhan Mantri Mudra Yojna ka interest kitna pay karna padta hai?
Toh ab hum jaante hai bank of baroda Pradhan Mantri Mudra yojna ka interest rate kitna hai aur aapko per aanum kitna interest dena padega jo ki aapko 9% se lekar 12% tak dena hoga.
Bank of Baroda Pradhan Mantri Mudra yojna tenure timing?
Aur ab dekhte hai ki jab aap business karne ke liye loan lete hai bank of baroda se toh usko wapas karne ka samay yaani duration time aapko kitna diya jata hai toh ye aapko 7 years tak ka time diya jata hai.
Visit : https://www.bankofbaroda.in/personal-banking/loans/pradhan-mantri-mudra-yojana
Bank of Baroda Pradhan Mantri Mudra yojna documentation?
Pahle toh aapke paas sabhi eKYC documents hone chahiye jaise ki…
Aadhar card.pan card.
Voter id card. Driving licence
Aur uske baad aapke paas residence ke toor par jo documents hone chahiye … Electricity bill. Telephone bill. property tax report
passport size photograph minimum 6 months old
Business pan card aapke pass hona chahiye.Income proof last 2 years ke hone chahiye
Iss document ko poora karne ke liye business related document hone chahiye.
Aur saath hi bank statement of minimum 6 months old
Bank of Baroda Pradhan Mantri Mudra yojna eligibility?
Bank of Baroda Pradhan Mantri Mudra yojna ki eligibility kuch iss prakar hai…
pahle toh aapki age 18+honi chahiye
Aur iss loan lene ki eligibility yeh bhi hai ki aap individual, entrepreneur, business owner, retailer ho.
Aur main baat yeh ki aap ke paas India ki citizenship honi chahiye.
Iske baad aapka financial status kaafi strong ho.
Aur aap pe kisi bhi prakar ke criminal record na ho .
Bank of Baroda Pradhan Mantri Mudra yojna loan kaise apply kare?
Shishu yojna
Toh pahle aapke pass bank of baroda ka koi na koi account zaroor hona chahiye saving account ya koi bhi account ho
Uske baad aapko bank ke branch par ya online hii shishu loan ke application form ko pdf format me download karna hai.
Uske baad printout nikalwate hii aapko form ko acche se fill karna hai aur fir document ke saath attached kar dena hai.
Fir aapko Bank of Baroda ke branch par jaakr submit kar dena hai.
Aur fir aapka Pradhan Mantri Mudra yojna poori tarah se submit ho gaya hai.
Tarun yojna & Kishor yojna
Pahle aapko jo bhi bataya gaya hai bank of baroda Pradhan Mantri Mudra yojna ke loan ko apply karne ka same process shishu yojna ke liye bhi bass in exception ko chodkar ke.
Aapko form mein shishu ko chhodkar tarun ya kishor yojna ko choose karna hai.Then aapko form fill karke apne documents ke saath attach kar dena hai uske baad nearest branch bank of baroda mai submit kar dena hai.
conclusion?
Toh aaj ke iss article mein humne baat jaani ki kis tarike ke Pradhan Mantri Mudra yojna ke tahat aap log loan ke liye apply kar sakte hai iske poore process ke baare mein humne iss article ke madhyam se samjhne ki koshish ki hai.
Ummid hai aapko yeh article pasand aaya ho.
Kya Bank of Baroda ke alawa sabhi banks Pradhan Mantri Mudra yojna provide karwate hai?
Toh iska jawab hai hann zyada tar bank aapko pardhan mantri mudra yojna ke tahat aapko loan provide karwati hai.
kya sabhi loan collateral free loans mein aate hai yaa nahi?
Iska answer hai nahi sabhi loan collateral free loans mein nhi aate hai aur Pradhan Mantri Mudra yojna mein aapko collateral free service mil jaati hai.
Bank of Baroda Pradhan Mantri Mudra yojna contact helpline number?
Customer.support@jansamarth.in
Aashish Kummarr