Breaking News

HDFC Bank Business Loan? | HDFC Bank PMMY Loan? | HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra Yojana Loan Kaise Le?

To kaise hai aap sabhi log ummid karti hu swaasth or behtarin honge toh aaj hum new topic par badne vale hai or us topic par charchaa karte hai to aaj ka topic hai pradhan mantri Mudra yojna jisse aaj hum samjhne waale


hai Ki pmmy se aap kaise loan le sakte hai aur jaise ki aapko yeh baat acche se pata hoga ki aaj ki date mai apne expenses ko poora karna kitna mushkil ho gaya hai aur unn logo ko jo ki ek middle class family se belong karte hai jo ki job salaried base par kaam karte hai jinki itni earning hii nhi hai ki wo apne shok poore kar sake…

So iss case mein aapko HDFC Bank hai jo Pradhan Mantri Mudra yojna dwara nikali gyi schmes aapko help kar sakti hai jisse ek middle class family jinhe business ya koi bhi company ka startup karna ho wo yaha se easily loan le sakte hai jisse HDFC Bank ke madhyam se loan provide kiya jata hai aur aage hum issi ke baare mein discuss karenge ki kitna amount aur interest par loan aapko mil sakta hai.

HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra yojna kya Hai?

Toh upper humne jaana ki Pradhan Mantri Mudra yojna govt dwara nikali gyi schmes mein se ek hai jo ki sabhi ko loan dilwane mein help karti hai jisse aap ko business shuru karna hai toh aap yaha se loan easily le sakte hai jisse HDFC Bank help karti hai jaha aapko interest bhi itna dena nahi padta hai.

HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ke kya  Benefits Hai?

1.Jo Pradhan Mantri Mudra yojna ke tahat schmes dwara aapko interest milta hai wo aapke budget anusaar hota hai.

2.Isme aapko business karne ke liye amount accha khasa mil jata hai.

3.Iss loan ko har ek vyakti le sakta hai aur iske laabh utha sakta hai.

4.Aur isme aapko tenure timing yaani duration time kaafi thik thak mil jata hai.

5.Aur main baat ki isme aapko apne asset ke tor par as a security deposit nahi rakha padta hai.

HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Se kitne Amount Tak ka Amount paa sakte Hai?

Toh ab dekhte hai HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ke amount ki toh yeh aapko deti hai 50000 sr lekar 10 lakh rupee tak ka deti hai jisse aap apna koi bhi business shuru kar sake.

HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ka interest kitna pay karna padta Hai?

Toh ab jaante hai jab aap HDFC Bank se loan lete hai toh uske badle aapko kitna interest dena hota hai toh mai aapko bta doo iska kitna interest hai 9% per year jo hai aapko har saal dena hota hai.

HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Tanure Timing?

HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ke tanure ki baat kare toh yeh kuch iss prakar hai 12 -60 month ka time limit hota hai jisse aapko bank itne time tak dena hota hai.

HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Eligibility?

1. Pahle toh aapki age 18+ honi chahiye.

2.Aur aap Bharat ke niwasi hone chahiye.

3.Aur aap ka financial track status kaafi strong hona chahiye.

4.Aapke upper koi bhi criminal record nahi hone chahiye.

5. Enterprises engaged in trading, service and manufacturing sectors.

6. Aur iss loan ko lene ke liye aap aapke pass yeh hona chahiye individual,SMEs & MSMEs, manufacturers,traders, retailers ,small industrialists etc.

Visit : https://www.hdfcbank.com/personal/borrow/popular-loans/business-loan

HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Documentation?

Sabse pahle document ki baat kare toh jo ki aapke pass hona zaruri hai..

1.ekyc documents

. Aadhar card
. Pan card
. passport
.Voter id card
. Driving licence

2.Residential address proof

. power bill
. water bill
. Gas bill

3. Business documents

. Business licence
.GST registration certificate
. Income tax return last three years
.Bank Statement of current account last 12months
. Business profitable proof

HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra yojna contact helpline number?

18002026161

HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Loan kaise apply kare..

SHISHU YOJNA

Toh pahle toh aapke pass HDFC Bank ka koi na koi account hona chahiye like saving account ya koi bhi account ho.

Uske baad aapko application form ko download karna hai.

Fir aapko form ko nikalwa kar form ko acche se fill kar dena hai aur jo documents bataye gaye hai usse attached kar dena hai.

Advertisement

Then fir aapko HDFC Bank ke nearest branch mai jaakar submit kar dena hai.

Fir aapka Pradhan Mantri Mudra yojna loan successful submit ho gaya hai.

TARUN YOJNA & KISHOR YOJNA

Isme bhi jo aapko bataye gaye jisse aapko HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ke loan ko apply kar sakte hai yhi steps shishu yojna ke liye bhi hai.

Uske baad aapko shishu yojna ko chhodkar aapko tarun ya kishor yojna ko choose karna hai.

Fir form ko fill karke apne documents ke saath attached kar dena hai then nearest branch mai jaakar submit kar dena hai.

Kya HDFC Bank ke alawa sabhi banks Pradhan Mantri Mudra yojna provide karwate hai?

Hnn toh zyadatar banks aur sabhi banks aapko loan Pradhan Mantri Mudra yojna ke tahat provide kiya jata hai.

Kya sabhi loan collateral free loans mein aate hai yaa nahi?

Nahi lekin Pradhan Mantri Mudra yojna mein aapko collateral free loan mil jaata hai.

Conclusion?

Toh aaj ke poore article mein humne samjha ki aap kis method se yeh schmes ka fayda utha sakte Pradhan Mantri Mudra yojna se loan lekar jisme aapke sabhi problem ka solution mil gaya hoga.

I hope ki aapko yeh article pasand aaya ho.

About Aashish Kummarr

Check Also

State Bank Of India Home Loan Kaise Le? | SBI Home Loan? | State Bank Of India Home Loan Online? | SBI Home Loan Eligbility, Documentation, Amount Etc..

Hello friends, So kaise ho aap sabhi i hope so acche honge toh aaj mai …

Union Bank Of India Current Account Open Kaise Kare? | Union Bank Current Account? | Union Bank Of India Current Account Eligbility, Documentation Etc..

Namaskar sathiyao, Toh kaise hai aap sabhi asha karti hoon badiya honge Waise toh aapko …

Bank Of Baroda Current Account? | BOB Current Account Opening Online? | Bank Of Baroda Current Account Documents, Eligibility, Charges Etc..

Hello friends, Kaise ho aap sabhi log ummid hai sab thik thaak honge so aaj …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x