Saathiyo kaise ho aap sabhi aasha hi nahi bharosa hai mujhe ki jitne bhi log iss article ko padh rahe hai wo sabhi log wealthy honge khair aaj ka yah article hone wala humesha ki tarah as usual jo topic aapko acche se pata hai aur kyunki iss platform par zyadatar isi topic ke upar baat hoti hai jiska naam hai crypto currency aur aaj ka article bhi isi se sambandhit hone wala hai jaha pat humne Aaj Tak kaafi sare crypto currency ke baare mein charcha ki hai aur unko deeply explore bhi kiya hai unhi mein se ek currency hai jiska naam hai Cortex CTXC coin aur aaj ke iss article mein sari information isi se related milegi..
Table of Contents
Cortex CTXC Kya Hai?
To aage badhne se pahle aur sabhi baato ko batane se pahle sabse pahle baat yah aa jaati hai ki aakhir yah coin hai kya to mai aapko bata dena chahta hoo iss yah Cortex CTXC ek digital Blockchain technology network ke sath mein aane wala ek crypto currency hai jisko hum kahe to yah ek open source and peer to peer with cortex Blockchain ke saath mein aane wala decentralised platform mein se ek hai isko aap sabse popular coin etherium ke artificial intelligence ke basis par yah token enable ho jaata hai
Aur yah Cortex platform claim Kara hai ki ek facilitate AI democratization ko aur iska use like smarts contracts ke liye jaise jo regular work ke use mein aaye..
Cortex CTXC Total Kitne Coins Hai?
To abhi hum yah jaante hai ki Cortex CTXC coin ki amount ki availability ya circulation kitni hai jisse iss baat ka andaza laga sake ki aapko demand zyada or kam token ki wajah se uski price par kya prabhav padega to mai bata doo ki Cortex CTXC coin ka circulation 203.3 million ke units mein available hai matlab ki ek kaafi kam amount mein aapko token milega…
Cortex CTXC Itihas Kya Hai?
Ab thoda sa hum iss Cortex CTXC coin ke about ke baare mein means iske history ke bare mein hume janna hoga kyunki hume iska background ka pata hona bhi bahut zaroori hai to aapko mai bata doo
Ziqo Chen aur jia tian jo hai wo iss cortex Blockchain technology network ke co founders hai aur iss porper cortex project ke bhi aur sath hi yah bhi bata doo ki yah SFTC principal ke tahat research scientist hai jo ki innovation karte hai technology se related
Cortex CTXC Kharide Kaise?
Ab hum dosto jaan chuke hai sabhi basic Cortex CTXC coin ke details ke bare mein abhi aapka yah janna kaafi zaroori bann jata hai agar aapko iss coin mein intrest banta hai aur wo iss basis par ko aap isko buy karna chahte hai to mann mein ek sawal yah hoga ki aap isko aakhir buy kaha se kare aur saath hi kis platform se kare jo ki aapko ek dam sahi aur certified tarike se iss coin ko available karaye…
To bata doo ki aese to kaafi platform hai par un mein se jinhen mai recommend karta hoon unka naam kucch iss tarike se hai jaise ki WazirX, Coinbase, CoinSwitch, Kuberswitch, etc yah aese platforms jo government certified bhi hai..
Cortex CTXC Current Price Kya Hai?
To ab jaha par hum isme buying platform ke bare mein ab tak baat kar chuke hai abhi hum yah baat kar lete hai ki aakhir iss crypto currency ki filahaal aur current mein kya pricing chal rahi hai jiske basis par aap iske kitne units of amount ko purchase kar sakte hai aapko pata chale to bata doo ki abhi Cortex CTXC coin ki per unit ki pricing ₹9.20 rupees hai
..
Cortex CTXC Market Cap Kitni Hai?
Ab jaha hum logo ne iski pricing aur abouts ke bare mein itna jana hai waha par hume yah bhi janna kaafi had tak zaroori bann jata hai ki aakhir iss crypto currency ki Cortex CTXC ki market value kitni hai jisko aap log market cap ke naam se bhi jaante hai to bata de ki abhi current mein to iski evaluation 1.9Billion Rupees ki hai means ki apne price range ki hisab se market cap kaafi had tak high hai .
Cortex CTXC Sabse High Price Kitni Rahi Hai?
To Jab aap log itna jaan chuke hai ki iss Cortex CTXC coin kya hai saath hi iski poori details jab aapko pata chal chuki hai aur agar aap isme nivesh ki soch rahe hai to mann mein khyaal aaya hoga ki last time yah kitna per one unit of Cortex CTXC ke liye gaya tha aapko mai bata doo ki sabse high ₹197.58 rupees Gaya tha Cortex CTXC coin kaa..
Cortex CTXC 24 Hours Ka Trading Volume Kitni Rahi?
Ab hume yah janne ki zaroorat hai jo ki traders ko kahi na kahi iss baat se prediction bhi lag jaati hai ki jab iss coin ki total activities kuch iss prakar hai to isaka last recently 24 hours ke andar trading volume kya rah chuka hai to aapko mai batanq chahoongaa ki ₹110.6 Million rupees ki rahi hai .
Cortex CTXC Typical Holding Time Kitni Hai?
Abhi hum yah jaante hai ki agar aap log iss Cortex CTXC coin ke units kk buy karte hai to zaahir ki har ek invester iss baat ko poochega ki agar aap paise apne laga rahe ho to uska result aapko kab tak mil jaayega means hai coin ko buy karke uske stake ko hold karke sahi time ko dekhkar sell karke profit generation ki to bata de ki according to coinbase 14 days ke under aap yah kaam kar sakte hai..
Conclusion?
Dosto finally humara aaj ka yah article bhi samapt ho jaata hai jaha par aaj humne jaana haii Cortex CTXC coin ke bare mein jiske sabhi details ko humne kaafi depth mein jaake explore kiya hai aur aapko article ko padhne ke baad at the end samajh aa jaayega ki aapko ki aapko yah coin buy karna chahiye ya nahi…
Baaki aasha hai aapko article pasand aaya hoga…
Aashish Kummarr