Hello guys,
Toh kaise hai aap sabhi log asha hai behartein honge aur khush honge toh aaj ke article mein hum current account opening jiski business karne wale vyakti ke liye kaafi madadgaar aur useful account mein se ek mana jata hai current account ko jiske bare mein hum aage jaanenge…
Toh basically current account aap sabhi logo ko jinko apna business shuru karna ho ya uske transaction ko alag se handle karne ke liye ek alag account chahiye wo aur logo ke saath business shuru kar paye lekin yeh tab hi possible hai jab aap logo ke pass inn sabhi transaction karne ke liye aur aapke business ke money ko handle karne ke liye alag se account hai jiske liye current account unme se ek account mana jata aur wo bhi business karne wale vyakti ke liye hii hai jaha business man apna Current Account kotak Mahindra Bank mein open karwa sakte hai…!
Table of Contents
Kotak Mahindra Bank Current Account Kya Hai?
Current account wahi log open karwate hai jo business se jude hai yah uss field se hai aur hum yaha par business activities ko bhi include kar sakte hai or current account wahi log open karwate hai jinko business karna ho.
Kotak Mahindra Bank Current Account Opening ke Benefits?
1. Yaha aapko free cheque book provide karwaya jata hai.
2.Yaha aap limited transaction ke bajay unlimited transaction kar sakte hai.
3.Yaha amount jo hai customer ko provide krwai jati hai zarurat padhne par.
4.Demand draft isme aapko iski facility milti hai.
5.Neft free services provide krwai jati hai current account mein.
Kotak Mahindra Bank Current Account Opening Eligibility?
1.Aap India ke niwasi hone chahiye.
2.Sole proprietorship/ partnership se jude hue ho.
3.Private limited company,public limited company se joint ho.
4.Business firm yeh aapke pass hona chahiye.
5.Koi bhi person kisi na kisi Clubs ya association se attach ho wo bhi apply kar sakte hai.
Kotak Mahindra Bank Current Account Opening Documentation?
1.Complete income tax return aapke pass ho.
2.Certificate, registration document issued by sales tax, service tax, professional tax authorities hone chahiye.
3.CST/VAT/GST ke certificate aapke pass hona chahiye.
4.Business ke liye aap current account open karwa rahe hai toh aapke paas business pan card hona chahiye.
5.Aur aapke pass certificate, license of registration under any specific statute,act of the government ke ho.
6.Identity proof ke liye aapke pass passport, driving license, voter id card,pan card aadhar card hona chahiye.
7.proof of address ke liye aapke pass utility bill, water bill, telephone bill hona chahiye.
Kotak Mahindra Bank Current Account Open kaise kare In Offline Mode?
Pahle aapko yaha ke nearest branch mein visit karna hai.
Then bank ke employee se baat karke current account opening ke liye form lena hai.
Uske baad aapko poori information lekar fir apply karna hai.
Aur opening form ko acche se fill karna hai.
Aur necessary documents ko form se attach karna hai.
Aur passport size photograph lagani hai with signature ke saath.
Then aapka form successful submit ho jayega.
Kotak Mahindra Bank Current Account Open kaise kare In Online Mode?
Isme pahle toh aapko iske official website par visit karna hai.
Then Kotak Mahindra Bank ke current account ke link par click karna hai.
Uske baad page open ho jayega uske baad aapke samne current account form show hoga.
Aapko current account opening ke liye form fill karna hai.
Then waha kuch aapse personal aur professional details ko fill karni hai.
Aur kuch documents wo aapse online maange ge usko submit karna hai.
Then wo aapke form ko verification karenge.
Fir aapka form submit hoga .
Visit : https://www.kotak.com/en/ personal-banking/erstwhile-ing-vysya/current-accounts/general-current-account.html
Kotak Mahindra Bank Current Account Opening GST Needed?
Ese toh aapko current account opening ke liye GST ki zarurat toh padti hai lekin aap logo ke pass nhi hai toh koi baat nahi aap log eKYC documents ke through bhi open karwa sakte hai.
Kotak Mahindra Bank Current Account Minimum Balance Management?
Aage hum kotak Mahindra Bank ke minimum balance management ki baat kare toh isme aapko jo hai 50,000 rupee ko manage karna padega iss account mein.
Kotak Mahindra Bank Current Account Opening Charges & Fee?
Iss current account mein aap logo ko jo hai weekly mein physical tarike se 300 per quarter dena padta hai.
Kotak Mahindra Bank Current Account Passbook provide karwata Hai?
Yes,jaise ki aapko kisi bhi account open karwane ke baad passbook diya jata hai same isme bhi aapko passbook provide karwa diya jata hai jisse aap apna kaam karwa sake.
Kotak Mahindra Bank Current Account ATM Card Milta Hai?
Yes, Kotak Mahindra Bank mein current account open karwane ke baad aapko ATM Card provide kiya jata hai taki paiso ki transaction easily aur acche se kar paye.
Kotak Mahindra Bank Saving Account ko Current Account Mein Convert kar Sakte Hai?
As per the rule of bank hum saving account ko current account mein convert nahi karwa sakte hai kisi bhi account ko ya saving account kyu na ho.
Conclusion?
So,aaj ka article aap logo ke liye kaafi useful raha hoga especially business man ke liye kyuki yeh kewal unhi ke liye account hai aur aapne paiso ko baacha sake ya investment karne ka sabse accha platform hai.
I hope so ki aapko yeh article samajh aaya ho aur aapke doubt clear hue ho.
Aashish Kummarr