Namaskar dosto kaise hai aap sb i hope thik honge aaj hum business ko lekar baat karne wale hai ki ek business ko shuru kaise kare aur business hum tabhi karna chahte hai jb humhe esa lge ki hum par job ka pressure itna ho jata hai ki logo par itna burden ho jata ki wo chahte hai inn sab se hatkar kuch naya kare jiise apna aap business kar sake.
Table of Contents
Axis Bank Business Loan Kya Hai?
Business loan ek esa loan jo ki hum ek business ko start karne ke lete hai jo ki harr bank jo hai humhe loan provide krwata hai lekin hum baat kare axis bank ki toh yeh aapko kam interest rate per loan provide krwata hai taki hum business ke liye axis bank se loan le sake.
Axis Bank Business Loan Benefits?
1.ek toh iska benefit yeh hai ki jb aap business karne ke liye aapko amount ki need hogi toh ese mein aapko loan bank ke through hii provide kiya jata hai.
2.dusara yeh ki aapko aapke hisab se loan amount provide karwa diya jata hai.
3. Aur aapko loan wapas mtlb tenure time kaafi long tak ka mil jaata hai.
4. Then aap log bussiness loan lene par aapka loan jaldi approved bhi ho jayega.
Axis Bank Business Loan Amount?
Axis Bank jo hai wo logo ko 50,000-50 lakh tak ka amount provide krwati hai jo ki loan amount itna hai jisse jo hai log apna business shuru kar paye .
Axis Bank Business Loan Interest Rate?
Ab dekhte hai axis Bank business loan interest rate ki toh yeh hai 14.65%-18.90% hai jo harr vyakti jo business loan lena chahta hai usse itna interest dena hota hai bank ko.
Axis Bank Business Loan Tenure?
Axis Bank se jo vyakti business loan leta hai usse tenure time kitna milta its mean duration time jo hai wo 1-5 year tak hai itne time mein aapko jo hai loan bank ko return karna hota hai.
Axis Bank Business Loan Eligibility?
1.pahle toh aapke paas India ki citizenship honi chahiye.
2.Aapki age kam se kam 21 saal honi chahiye.
3.Aur zayada se zayada 65 age hona jaruri hai.
4.Aur is loan ki eligibility ke liye entrepreneur hona jaruri hai.
5.Is mein no income ceiling hoti hai.
Axis Bank Business Loan Documentation?
Axis Bank se business loan hum tabhi le sakte jb humhare pass yeh documents honge.
1.eKYC documents
Aadhar card
Pan card
Driving license
Passport size photo
2.Address proof documents
Electricity bill
Telephone bill
Ration card
3.Business documents
MOA sheet
Account statement
Business ka pancard
Income tax return recently 3years
Axis Bank Business Loan Processing Fee?
Iski processing fee ki baat kre toh mai aap sabko bata do ki axis Bank ki processing fee jo hai wo 2%hai with the applicable taxes.
Axis Bank Business Loan Kaise Le / Axis Bank Business Loan Kaise Apply Kare?
Online method:-
Sabse pahle aapko bank ki official website pr aana hoga.
Uske baad aapko loan ke option par click karna hoga.
Fir aapke samne axis Bank business loan se related sabhi information aa jayegi.
Fir aap sabhi information padh kar jaan payenge ki kaise apply karna hai.
Apply ke liye aapko apply now ke option par click karna hai.
Uske baad aapko form fill karna hai.
Then form ko submit kar dena hai.
Fir aapka loan successfully approved ho jayega.
Offline method:-
Sabse pahle aapko apne near ke branch mai visit krna hai.
Fir waha ke employee se application form ko lena hai.
Aur wo aapko usse related information de denge.
Fir form ko acche se fill karna hai.
Aur aapne documents ko uss form ke saath attach kar dena hai.
Aur photo ko paste karke aur authentic signature ke saath submit kar dena hai.
Fir aapka loan approved ho jayega.
Conclusion?
Toh aaj ke iss article mein humne baat kari ki kaise hum axis Bank se jo hai business loan kaise apply kar sakte aur usse sambandhit sabhi information ke baare mai jaana.
Ummed karti hoon aapko ye article pasand aaya hoga.
Aashish Kummarr